Header Ads

Rashes ki problem se hain preshan toh ajmayiye yeh gharelu nuskhe.

Rashes ka ilaj kaise kare.Rashes  ki problem tight kapde pahnane, bahut jyada paseena aane aur bahut jyada  chalne se jaangho mein hoti hain. Inme bahut jyada khujali hoti  hain, saath hi dard  bhi mahsoos hota hain. Inhe  nazarandaaz  karne se yeh  infection phail sakta hain, jo takhleef  ko  aur  bhi  jyada badha deta  hain. Rashes ki problem ladies  se lekar  gents sabhi mein  payi jati hain, Yeh samsya kisi ko bhi ho sakti  hain.

Aaj ki is post mein hum janenge ki  rashes ko door karne ke  liye  iske  gharelu nuskhe  kya hain. Rashes  ke ilaj ke liye  kaun si tips aur upay ko apna kar  hum ise khatm kar sakte hain.

Rashes ki samsya ko door karne  ke liye home remedies :- 

■  Chamomile tea :- Chamomile tea ka istemal karke  bhi rashes se chhutkara paya ja sakta  hain, saath hi isme mauzood herbs aur bhi kai  tarah ki skin problems ko door karne  mein madad  karte hain. Androoni  rashes  hone  par  usay chamomile  tea  se  saaf  kare.

Comfortable underwear pahne ;- Rashes ki problem tight  aur uncomfortable  underwear aadi pahanne se hoti  hain. Rashes  hone par  aap dheele aur  comfortable  kapde  aur  underwear  pahne.

Powder :- Rashes  wali jagah par kisi acche  Anti-Bacterial  Powder ka istemal kare. Talcum powder  asaani se androoni area ke paseene ko observe kar leta hain. Koshish kare  ki powder ka jyada  se  jyada  istemal kar sake.

Vitamin E :- Vitamin E ke  istemal se bhi rashes ki  problem door ho jati hain. Vitamin E se bharpoor cheezo  ko rashes  wali jagah  par lagaye. Rojana ek hafte tak din mein kam se  2 -3 baar iska istemal kare.

Aloe Vera gel :- Aloe  Vera gel  rashes ki problems ko door karne mein helpful hota hain. Rashes wali jagah  par iski taazi pattiyo  se nikla gel  laga kar ise  sookhne  de. Jald asar ke liye  din mein 2-3 baar iska istemal  kare.

Vinegar  :- Agar rashes wali jagah  par infection badhta dikhaayi  de raha ho toh turant oos jagah par  Vinegar yani ki  Sirka lagana shuru  kar  de. Jald asar ke liye  aap  Vinegar  mein  Shahad  ki matra bhi mila sakte  hain. 3-4 baar  infection wali jagah  par lagaye.

Burf  (Ice) :- Burf  ka  cooling effect rashes  ka asardaar  ilaj  hain. Har 2 ghante mein androoni rashes wali jagah  par burf ke tukde se  sikaai kare. Bahut jald  fayda milta hain.