Rojana baalo ki tel se malish karna hota hain faydemand.
Baalo ka jhadna ho, asamay safed hona, dandruff, infection hone jaisi problems ka saamna aap sabhi ne kabhi na kabhi toh jaroor hi kiya hoga. Baalo ke health ke liye log tarah tarah ke mahange treatment karwate hain aur in treatment ke effect ke liye unhe lamba intezaar bhi karna padta hain. In sabhi problems se chhutkara paane ke liye aapko mehange hair treatment ki jaroorat nahi hain, bas aap rojana apne baalo ko tel se malish kare aur dekhiye iske gajab ke results. Aaj ki post mein hum aapko batane ja rahe hain ki daily baalo ko tel se massage karne par isse aapke baalo ko kya kya fayde hote hain.
Rojana baalo ko tel se maalish karne ke fayde :- (Benefits of Daily oil massage for hair in Hindi.)
◄ Baalo ki majboot ke liye accha hota hain. :- Baalo ki jado ko majboot banane ke liye rojana tel se scalp ki malish kare. Isse baalo ki growth bhi sahi hoti hain aur saath hi unke toot kar girne ki samsya bhi door ho jati hain. Castor Oil, Almond Oil aur Olive Oil baalo ke liye jaroori kai saare nutrients ki supply karte hain. Vitamin E uljhe, bejaan aur do-moohe baalo ki problems ko door karta hain. Baalo ko rojana tel se maalish jaroor karna chahiye.
◄ Baalo ko safed hone se bachaye ;- Unhealthy lifestyle, stress aur kai wajaho se baalo ka jaldi safed hone ki samsya aam baat ho gyi hain. Iske alawa kharab digestion, Protein aur Vitamins ki kami bhi ek badi wajah ho sakte hain. Baalo ko colour melanin is baat par depend karta hain, Jiski kami se baal safed nazar aane lagte hain. Rojana baalo ki tel se maalish karne se baal lambe, ghane aur kaale bane rahte hain. Iske alawa tel suraj ki khatarnaak UV rays se bhi baalo ko protect karta hain.
◄ Hair ki growth ke liye :- Baalo ki growth puri tarah se usay milne wale nutrients par depend karti hain. Protein aur Vitamins baalo ki growth ke liye sabse jaroori cheez hain. Coloring, Straightening aur aise hi kai tarah ke treatments se damage ho rahe baalo ki quality ko hafte mein 3-4 baar tel lagakar kafi hud tak sudhaara ja sakta hain. Tel se baalo ki jado mein acche se massage kare jisse blood circulation sudharta hain. Jado mein tel observe hone se usay kai jaroori nutrition asaani se mil jate hain. Jo baalo ko lamba, ghana aur mulayam banate hain.
◄ Dandruff se chhutkara dilaye :- Scalp ki dryness dandruff ke badhne ki wajah hoti hain. Jisse baal kamjor ho kar tootne lagte hain. Iske saath hi khujali aur infection hone ka khatra bhi bana rahta hain. Dandruff dead cells hote hain jo khujali hone par kapdo par girte hain. Tel ki maalish karne se scalp par kisi bhi tarah ki gandagi nahi baithati. Lagatar shampoo aur conditioner laga kar kafi hud tak is problems se chhutkara paya ja sakta hain.
◄ Bacteria aur Fungal infection kare door ;- Seer ki jado mein gandagi jama hote rahne se kai tarah ke bacterial aur fungal infection hone ka khatra bana rahta hain. Iske saath hi dandruff aur juo ki samsya bhi ho sakti hain. Jo baalo ko kamjor banate hain aur veh halke hokar tootne lagte hain. Seer ki jado mein kisi bhi tarah ki papdi aur red skin dikhaayi de toh turant doctor se raabta kaayam kare. Rojana tel mein shahad mila kar usse maalish karne se Anti-Bacterial tatv bacteria ko paida nahi hone deta hain. Saath hi yeh baalo ki jado ko hydrate rakhne mein bhi madad karta hain.
◄ Baalo ko banaye chamakdaar ;- Chamakdaar baal personality ko graceful banane ka kaam karte hain. Inki chamak ko banaye rakhne ke liye rojana gungune tel se seer ki maalish kare. Isse baal aapas mein ulajhte nahi aur saath mein do-moohe bhi nahi hote. Tel se baalo ko androoni poshan ke alawa baahari poshan bhi milta hain, Jisse veh pahle se jyada ghane aur chamakdaar nazar aate hain.
Post a Comment