Header Ads

Seafood khane ke fayde (Benefits of Sea food in Hindi/Urdu.)

Benefits of Seafood in Hindi/Urdu.
Agar aap non-vegetarian hain toh aapko sea food yani ki samundari khadya padarth jaroor hi pasand honge. Lekin kya aap in sea food ke paushtik guno ke bare mein jante hain. Veh log jo samundar ke kinaare rahte hain, veh kewal Sea food par zinda rahte hain. Aaj hum aapko Seafood khane ke fayde batayenge (Benefits of Sea food in Hindi/Urdu.)

Seafood khane se hote hain yeh labh :-

Aankho ke liye :- Bachpan se hum sunte aaye hain ki Gajar khane se aankho ki roshini tez hoti hain. Lekin ab aap machhali ka sewan kar sakte hain kyonki yeh vitamin aur minerals pradan karti hain, Jisse aankho ki jyoti badhti hain.



Dimaag ke liye :- Sea food ko brain food bhi kaha jata hain. Research mein bataya gya hain ki agar garbhvati mahilayein sea food ka sewan kare toh unke bacche ka IQ level sabse tez hoga. Saath hi sea food khane se budhape mein Alzheimer ki problem nahi hogi.


Protein ka good source :- Protein ka high source Chicken aur Meat hote hain, Lekin machhali bhi kuch kam nahi hain. Macchali aapko samundar aur nadi mein milti hain, Jisme khoob saara protein paya jata hain. Saath hi isme jama hua fat bhi bahut kam hota hain. Yeh blood pressure, tavcha ki dekhbhaal aur aankho ki roshini badhati hain.


Pregnancy mein :- Pregnancy mein Omega-3 Fatty Acid ko bahut faydemand mana gya hain. Garbvati aurato ko pregnancy ke teesre mahine se paki huyi machhali ka sewan karna chahiye. Macchali khane se hone wale shishu ka dimaag tez hota hain. Lekin yeh accha hoga ki pahle aap apne doctor se salah le le ki kaun si machhali khani chahiye aur kitni matra mein khani chahiye.


Muscles ke liye :- Workout karne ke baad muscles ko protein ki khas jaroorat hoti hain. Iske liye aap Fish try kar sakte hain. Yeh maanspeshiyo ko majboot karti hain aur unhe jald se jald recover karne ka kaam karti hain.


Omega -3 Fatty Acid :- Sharir ke liye Omega-3 Fatty Acid bahut jaroori hain, Kyonki yeh sharir par jald budhapa nahi aane deta hain. Veh log jo macchali khate hain, Unki skin hamesha jawan rahti hain aur glow karti hain.


Heart ke rog ke liye :- Sea food ko khane se dil ki bimariya hone ka khatra kam ho jata hain. Sea food ko khane se khoon mein Triglyceride level kam hota hain.