Header Ads

Smoking chhodne ke gharelu nukshe aur upay.

Smoking chhodne ke gharelu nukshe aur upay.
Kya aap smoking chhodna chahte hain? Kya aapne Cigarette peena chhodne ke gharelu nuskhe aur upay ke bare mein search kiya hain? To yeh post aapke liye hi hain? Kyonki aaj ki is post mein hum aapko cigarette chhodne ke aise asardar gharelu nuskhe aur upay batayenge jinhe apna kar aap smoking se mukti pa sakte hain. Yeh gharelu nuskhe itne simple hain ki aap inhe ajma kar asaani se cigarette peena chhod sakte hain.

Yeh kahawat hain ki “purani aadatein badi mushkil se jati hain” lekin iska matlab yeh nahi hain ki aap kisi buri latt ko chhod nahi sakte hain. Cigarette, Beedi, Tobacco, Khaini, Gutka, Sharab aadi chhodne ke liye aapko apne iraade majboot rakhne padenge. Aaj hum aapko kuch aisi cheezo ke bare mein batane ja rahe hain jo hamare ghar ki rasoi mein hi asaani se mil jati hain, jinka istemal karke aap smoking se chhutkara pa sakte hain.

Ek research ke mutabik Indian smoking karne ke mamle mein duniya mein sabse aage hain, vah rojana lagbhag 8.2 Cigarette pee jate hain. Aaj ki bhaag-daur bhari tension wali life mein cigarette peena ek aam si aadat ban gayi hain.

Log cigarette peena chhodna to chahte hain aur vah kasam bhi kha lete hain, lekin apni talab ko kam nahi kar pate hain aur majboor ho kar 1 ya 2 ya kuch hi dino ke baad se phir se cigarette peena shuru kar dete hain. Lekin aaj hum aapko batayenge kuch aise asarkari gharelu nuskhe jo bahut hi asaan hain aur agar aapne cigarette peena band karne ki thaan li hain toh yeh nuskhe jaroor ajmaye.

Smoking Chhodne ke liye Asaan gharelu nuskhe :- 


1. Agar aap Cigarette peena chhodna chahte hain to Mooli ko ghees kar khaye, Gheesi mooli khane se chain smokers ya cigarette peene ki buri latt se peedit vyakti ko bahut jyada fayda milta hain. Best result ke liye aap gheesi mooli ko Shahad ke saath mila kar khaye.

2. Cigarette chhodne ke liye paani peena bhi faydemand rahta hain. Paani sharir se zehreele padartho ko bahar nikaalne mein madad karta hain. Khana khane se 15 minutes pahle 1 glass paani peene se metabolism rate control mein rahta hain. Iske alawa aapko din bhar mein kam se kam 8 se 10 glass paani jaroor peena chahiye.

3. Shahad mein Anti-Oxidants, Vitamins, Enzymes aur Protein paya jata hain jo asaani se smoking ki aadat ko chhudane mein madad karta hain. Lekin aapko iske liye shuddh shahad ka hi istemal karna padega.

4. Oats sharir se zehreele padartho ko bahar nikalne mein madad karta hain aur cigarette peene ki talab ko bhi kam karne mein faydemand hain. Smoking chhodne ke baad jo smoking dubara shuru karne ki talab ya chahat hoti hain, usay kam karne ya ubarne mein Oats bahut hi madadgar saabit hota hain.

5. Jab bhi aapko smoking karne ke talab mahsoos ho to bareek saunf ke saath mishri mila kar dheere-dheere choosna chahiye aur jab yeh naram ho jaye toh ise chaba kar kha le. Yakin maniye cigarette ki chahat ko kam karne ka yeh sabse asaan aur behtarin upay hain.

6. Ginseng ek powerful herb hain jo body ko energy deta hain aur tension ko release karne mein madad karta hain. Jab aap smoking ko chhodte hain to aapka sharir tension aur alasya ki chapet mein aa jata hain. Ginseng in sabse ubarne mein aapki madad karega.

7. Choti Harad ko 2 din tak Nimbu ke ras aur Sendha namak ke ghol mein mila kar phoolne de. Iske baad ise chhaya mein sukha kar shishi mein bhar le. Jab bhi aapko cigarette /beedi peene ka mann kare toh ise choosey aur naram ho jane par chaba kar kha le. Yeh bahut hi kargar nuskha hain.

8. Lal Mirch Cigarette ki latt se chhutkara pane mein madad karti hain. Smoking ki talab ko khatm karne ke liye aap lal mirch ko masale ke taur par apne khane mein istemal kare. Saath hi aap 1 glass paani mein chutaki bhar lal mirch daal kar pee sakte hain. Aapko isse turant rahat milegi aur aapko smoking karne ki chahat se lambe waqt tak rahat milegi.

9. Angoor ke beej ka ras bhi smoking karne se rahat dilate hain. Isme paye jane wala alkaline tatv khoon aur fefdo ko smoking se huye nuksan se bachata hain.

10. CoEnzyme Q-10 ek aisa enzyme hain jo natural fermented material se taiyaar kiya jata hain. Yeh bahut hi powerful Antioxidant mana jata hain. Yeh na kewal nicotine ki latt ko kam karne mein madad karta hain, balki smoking se fefdo ko jo nuksan huye hain unko theek karne mein asarkari hain.

11. Jab bhi aapko cigarette peene ki iccha ho to aap Mulethi ka daatun le kar usay chabaye, Isse aapme smoking karne ki chahat kam ho jayegi. Yeh daatun pet ko bhi sahi rakhne mein bhi madad karti hain.

12. Nimbu ka ras, Ajwain aur Kala namak 2 din bhigo de. Phir ise chhaya mein sukha kar shishi mein bhar kar rakh le. Smoking ki jagah is mishran ko choosey. Aapko fayda hoga.