Header Ads

Vitamin A sabse zyada kisme paya jata hain?

Vitamin A sabse zyada kisme hota hain?
Kya aap Vitamin A ke source ke bare mein janna chahte hain? Kya aap yeh janna chahte hain ki Vitamin A sabse zyada kisme paya jata hain? Vitamin A ki kami ko pura karne ke liye hame kya khana chahiye? Vitamin A Source List in Hindi/Urdu. To yeh article jaroor padhe.

Jaisa hi hum sabhi log jante hain ki Aankho ki roshini ko barkarar rakhne ke liye Vitamin A hamari madad karta hain. Vitamin A Vegetable aur Non-Vegetable dono tarah ke food mein paya jata hain. Jaha Meat (Non-veg) mein Vitamin A Retinoid ke roop mein hota hain to vegetable (shakahari) mein yeh Carotenoid ke roop mein hota hain.

Vitamin A body ki immunity ko bhi badhata hain, cells ke vikas mein bhi madad karta hain aur skin ko soft bhi banata hain. Agar aap Vegetarian ya Non-Vegetarian hain to aap kisi bhi tarah se Vitamin A ko apni diet se pa sakte hain.

Aisa mana gya hain ki Carotenoid mein Anti-Oxidant mazood hota hain. Jis wajah se yeh aapke sharir ko free radicals cells se ladne mein madad karta hain aur kuch mamlo mein aapko cancer jaise khatarnaak bimari se bhi bachata hain. Sharir mein Vitamin A ki kami hone se aap ratondhi ki bimari ke shikar ho sakte hain.

Healthy rahne ke liye aapko apni diet mein Vitamin A se bharpoor khane wali cheezo ko jaroor shamil karna chahiye. Pregnant woman ko bhi Vitamin A wali cheezo ko jaroor khana chahiye. Vitamin A Red, Yellow aur Orange color ki sabziyo mein zyada paya jata hain. Kuch log aise bhi hote hain jo Vitamin A ki kami ko pura karne ke liye Cod Liver Oil ka bhi istemal karte hain.

Aaiye jante hain ki Vitamin A ke source kya hain? Yeh sabse zyada kismet paya jata hain?

1. Doodh :- Doodh ko sampooran aahaar mana gya hain. Halaki kuch baccho ko doodh peena bilkul bhi accha nahi lagta hain. Lekin yakin maniye Doodh Vitamin A ka bahut hi accha source hain. Isliye rojana baccho,bado aur buzurgo sabhi ko 1 glass doodh jaroor peena chahiye.

2. Kaddu :- Kaddu ki sabzi aur halwa dono hi banaya jata hain. Sirf 100 Gram Kaddu mein aapki rojana ki jaroorat ka 170% Vitamin A ka hissa ko pura kiya ja sakta hain. Yani ki Kaddu Vitamin A ka sabse best source hain.

3. Lal Shimla Mirch :- Lal Shimla Mirch jitna dekhne mein khoobsurat hoti hain utna hi yeh Carotenoid aur Anti-Oxidants se bhi bharpoor hoti hain. Isko aap kaccha salad ke roop mein ya phir iski sabzi ya phir doosri sabziyo ke saath mila kar kisi bhi tarah se kha sakte hain.

4. Gajar :- Gajar ko yunhi nahi Vitamin A ka sabse best source kaha gya hain. Kyoni ek katori Gajar mein rojana ki jaroorat ka Vitamin A ki 334% hissa mauzood hota hain. Matlab saaf hain ki Gajar Vitamin A ka sabse jabardast source hain. Gajar ko aap kaccha ya sabzi ya phir iska halwa bana kar kha sakte hain. Gajar Vitamin A ka bahut hi accha source hain. Aankho ko healthy rakhne ke liye Gajar jaroor khaye.

5. Kaleji :- Agar aap Non-vegetarian hain to aapko Murge ya Bakre ki Kaleji (Jigar/Liver) jaroor khana chahiye. Vitamin A khas karke Bakre ki Kaleji mein sabse zyada paya jata hain. Isliye chhote baccho ko Vitamin A ki kami ko pura karne ke liye Bakre ki kaleji khane ki salah di jati hain. Isliye jab aap Chicken ya Mutton khane jaye to kaleji (Zigar/Liver) jaroor khaye, isse aapko Vitamin A milta hain.

6. Shakarkand :- Sardiyo mein mausam mein milne wala Shakarkand apne swaad ki wajah se logo ko bahut pasand aata hain. Lekin kya aapko maloom hain ki Shakarkand mein bhi vitamin A acchi matra mein paya jata hain. Isliye sardiyo ke mausam mein Vitamin A ki kami ko pura karne ke liye shakarkand khana na bhoole.

7. Tamatar :- Tamatar mein Anti-Oxidants aur Vitamin A bahut hi acchi matra mein paye jate hain. Tomato Lycopene ka bahut hi accha source hain jo body ko Cancer cells ko badhne se rokta hain. Tamatar mein Chromium bhi paya jata hain jo blood sugar ko control karne mein madad karta hain.

8. Hari pattedar sabziya :- Hari pattedar sabziya sabhi tarah ke vitamins ka good source mani jati hain to bhala Vitamin A isse kaise achhoota rah sakta hain. Isliye Hari pattedar sabziyo ko apni diet mein jaroor shamil karna chahiye kyonki yeh Vitamins aur Minerals ka bahut hi accha source mani jati hain.

9. Machhli :- Kai researches se yeh saabit ho chuka hain ki macchli sehat ke liye bahut hi faydemand hain. Macchli Vitamin A ka bahut hi accha srot hain, Isliye sach hi kaha jata hain ki machhli khane se aankho ki roshini badhti hain. Fish ko brain food bhi kaha jata hain aur yaddast badhane aur dimaag ko tez karne mein bhi madad karti hain kyonki isme Omega-3 Fatty Acid bharpoor matra mein paya jata hain. Isliye aapko hafte mein 1 din macchali jaroor khani chahiye.

10. Hara Dhaniya :- Kisi bhi sabzi ka swaad badhane ke liye Hare dhaniye ka hum jaroor istemal karte hain. Hara dhaniya sirf sabzi ko garnish karne ke kaam hi nahi aata hain, balki yeh Vitamin A ka bhi accha source hain.

In sabke alawa Vitamin A, Chukandar, Saag, Broccoli, Aam, Makkhan, Anda, Beans, Rajma, Meat, Papita, Chiku, Matar, Sea Food, Tarbooz, Makkai ke daane, Santri aur Peele rang ke phal, Sarso, Sabut anaaz, Paneer, Shalgam aur Cod liver oil mein bhi bahut acchi matra mein paya jata hain.