Aise Gharelu Nuskhe jinse milegi gazab ki takat.
Aam taur par jo purush takatvar hote hain, unki family life bhi khushhaal hoti hain. Isliye kisi bhi tarah ki kamjori purushon mein aatm-vishwash ki kami ka karan ban sakti hain. Kai baar purushon mein paayi jane wali yeh asvasth sambandho ka karan ban jati hain. Kuch sharirik kamjori jaise swapn dosh, shighr patan aur kamjori aisi problems hain, jo man par control na hone ke karan hoti hain.
kisi vaykti ke jeevan mein yaun samsya uske jeevan ke shuruvaat mein viksit ho sakti hain yaa phir asantosh yaun anubhav hone ke baad bhi ho sakti hain. Yaun samsya ka karan sharirik aur mansik dono ho sakta hain. Aaj ham bata rahe hain mardo ki kamjori ko door karne vale kuch gharelu natural nuskhe. Jo iss problem mein bahut hi badhiya kaam karte hain.
1. Roz raat ko sone se pahle lehsun ki do kaliyan nigal le. Phir thoda sa paani pee le. Amble ke churan mein mishri peeskar milaye. Iske baad har roz raat ko sone se kareeb pahle is mixture chooran ka sewan kare aur thoda pani piye.
2. Amble ka murabba khaye. Kela purush ki shakti ko badhane wala phal hain. Prtidin kela khaye aur ho sake to kela khane ke baad doodh bhi piye.
3. Ajwain ki pattiyan swapan dosh ki samsya ke liye ek behtarin dawa hain. Ajwain ki pattiyon ka juice nikal kar usay shahad ke saath le.
4. Napunsakta ko door karne ke liye purusho ko kachchi bhindi chabani chahiye. Is samsya mein Bhindi ek behatrin dawa ke taur par Kaam karti hain.
5. Pyaaz ke safed kand ka ras, shahad, adrak ka ras aur ghee ka mishran 21 dino tak lagatar lene se napunsakta door hoti hain aur paurush shakti prapt hoti hain.
6. Chhui-Mui ke beejon ke churan (3 gram) ko Dhoodh mein milakar rozana sone se pahle raat ko liya jaye to kuch hi dino mein sharirik durbalta door ho jati hain.
7. Swasth soch se hi sharir swasth rahta hain. Yeh ek sachchaai hain. In samsyaon ke liye hamare mann ki bhavnaye kafi had tak jimmevaar hoti hain. Mann mein bhog vilas ya kaam-vasna se jude vichar ka khyaal ghumte rahna Swapn Dosh aur shighr patan ka ek bada karan hain.
8. Methi ko iss samsya ki bahut hi kargar dawa mana jata hain. 2 chammach methi ke juice mein 1/2 chammach shahad milakar rozana raat ko lene se is samsya mein bahut jaldi aaram mil jata hain.
9. Hamari aadtein bhi swasth par gahra asar dalti hain. yahi karan hain ki kai baar sirf galat aahaar-vihar yani ki galat samay par galat cheeze galat matra par lene se aur UN-natural apni din charya rakhne se samsya paida ho jati hain. In sabhi ka asar swasth par hi nahi blki vivahit jeevan par bhi gahra asar padta hain. Saath hi jaroorat se jyada bhojan karna bhi stri-purush mein kamjori ka karan ban jata hain.
10. Bahut adhik junk food jaise Pizza, Burger jaise fast food bhi iska ek bada karan hain. Adhik Ghee-Doodh, mewe-mithai bhi Ayurveda ki drishti se sahi nahi maane gye hain.
11. Kachche pyaaz ka sewan swapn dosh ki samsya mein bahut hi acchha mana jata hain. Khane mein kisi na kisi roop mein pyaaz ka upyog is samsya mein labh pahuchata hain. Saath hi agar ise kachcha khaya jaye to behtar natize dekhne ko milte hain.
12. Kuch plants ko kabhi khar-patwar maan kar yu hi phenk diya jata hain. Aisa hi ek paudha hain punarnava. punarnava ka vanspati naam Boerhavia diffusa hain. Punarnava ki taazi jado ka ras (2 Spoon) do se teen mah tak lagatar doodh ke saath sewan karne se budha aadmi bhi jawan ki tarah mahsoos karne lagta hain.
13. Til ka tel bhi is samsya me bahut hi kargar tarike se kaam karta hain. Til ke tel ko jitni matra mein le, Utni hi matra mein Lauki ka juice bhi le. Raat ko sone se pahle is tel ke misharn ko apne seer aur body par massage kare. Yeh bahut hi khas nuskha hain jo bina kisi jyada kharch ke aapko is samsya mein rahat dega.
14. Saboot anaaj ko bhigo kar ankurit kar khane se khoon badhta hain. isse niyamit sewan se swapn dosh ki samsya kam ho jati hai.
Post a Comment