Header Ads

Online money transfer karte samay rakhe in baaton ka khyaal.

Online Banking Tips
Online paise transfer karna jitna asaan hain, Utna hi jokhim bhara bhi. Is suvidha ke jariye kewal ek click mein duniya ke kisi bhi kaune mein se paise transfer kiye ja sakte hain. Lekin agar thodi si bhi chuk ho gyi , to yeh rakam galat insaan ko pahuch sakti hain. Isliye jitni asaani se paise dusre account mein pahuch jate hai, utna hi preshani hoti hain vapis unn paiso ko claim karne mein.

To Online Money Transfer karte samay in baaton ka kyaal rakhe :-

Naya beneficiary jodte waqt rahe alert 

Vaise to Beneficiary ka  Account Number 2 baar is liye type karna padta hain, Taki mismatch hone par gadbadi ka pata chal sake. Lekin agar pahli baar aapne ehtiyat se beneficiary ka Account Number likh liya hain to dobara use type karne ki bajaye copy paste kar de. 


Beneficiary ka Mobile Number Bank ko de

Beneficiary ka bhi mobile number bank ko jaroor de. Isse bank aapko aur paisa jiske account mein bheja gya hain yani ki beneficiary ko mobile par transaction ki suchna dega. 


Cooling period mein na kare paise transfer 


Agar naye beneficiary ko paise bhej rahe hain. to uske naam ki entry karne ke aadhe ghante baad hi paise transfer kar sakte hain. Ise cooling period kaha jata hain. 
Galat transaction ki suchana turant bank ko de


Reserve Bank ke niyam anusaar Online Transaction mein huyi gad-badi ke liye grahak khud jimmevar hain. Isliye aise mamlo mein Bank beneficiary ke account se paise recall nahi karta hain. Phir bhi agar iski jankari Transaction ke ghante bhar mein bank ko de, to karvaai ho sakti hain. Agar paise bhejne vale aur jiske account mein paise bheje gye , dono ke account ek hi bank mein ho, to paise ka vapis milna jyada asaan ho jata hain.  varna Kanooni prakriya apnani hogi.