2 Minutes mein banane wali Maggi le sakti hain aapki 1 Minute mein aapki Jaan
Ho sakta hain ki yeh khabar padh kar aapka mood kharaab ho jaye Kyonki Maggi ham sabhi ke bachpan ki saathi hain aur ham iske baare mein kuch bhi bura nahi sunanaa chahte hain.
Magar is fast food ko lekar ab chaukaane wala khulasa hua hain. Ek report ke mutabik , Maggi mein ghatak chemicals hote hain, Jiske chalte Sarkaar se sakht kadam uthaane ki maang ki gyi hain.
Jankaari ke mutabik Pichle dino Uttar Pradesh ke alag-alag Areas se Maggi ke sample liye gye. Laboratory ke jaanch mein yeh paya gya ki iss fast food mein bhaari matra mein monosodium glutamate (MSG) aur lead hain. Lead ki matra 17 parts per million hain, Jabki iski anumati mahaz 0.01 PPM ki hain.
Times of India ke mutabik , Lucknow Food Safety & Drug Administration ne Food Safety & Standard Authority of India ko likha hain ki Company ke khilaaf sakht karvaai ki jaye.
U.P. ke niyaamak ne kaha hain ki Desh bhar se sample lekar jaanch ki jaye , Taki iss fast food ki quality ki sachchaai sabke samne aa sake. FSDA ke sahayak Commissioner Vijay Bahadur ne kaha hain ki hamne Maggi ki sample ki jaanch Kolkata lab mein karvaai hain. Isme kai haanikarak chemicals hain.
Aapki jankari ke liye bata de monosodium glutamate (MSG) ek Amino Acid hain, Jise swaad badhane ke liye istemaal kiya jata hain. Iska jyada sewan karne se wajan badhne se saath hi Dimaag aur kidney par bura asar padta hain.
Post a Comment