Karela Khane ke nuksaan (Side Effects of Bitter Gourd)
Karela ko prakriti ka vardaan hain, Ise sehat ke liye bahut faydemand mana jata hain. Diabetes ke mareez ko karela khane ki salah di jati hain. Lekin iske pryog karne ke sambandh mein saavdhaani bartani chahiye. Kyonki Karela sharir ko nuksaan bhi pahucha sakta hain.
Diabetes ke mareez ke liye
Diabetes ke rogi yadi adhik matra mein karele ka prayog karte hain to yeh unke liye hanikarak sabit ho sakta hain. Karele ke jyada sewan se Blood pressure kam ho sakta hain, Isliye iske niyamit prayog se pahle doctor ki salah jaroor le.
Pregnancy
Garbhvati mahilaon ko Karele ka jyada prayog nahi karna chahiye, Isse shishu ko nuksaan pahuch sakta hain. Saath hi jo mahilaye maa banne ke baare mein soch rahi hain, Unhe Karele khane se bachna chahiye. Kyonki Karele ke beejo mein Alpha-momorcharin tatv hota hain, jo pregnancy mein badhak hota hain.
Liver
Adhik matra mein karele ka sewan Liver infection ka karan ban sakta hain. Karela directly Liver ko nuksaan nahi pahuchata hain, Lekin iske adhik istemal se Liver Enzyme badhte hain jo dhamiyo mein akadan badha sakte hain.
Bachcho ke liye hanikarak
Karela Bachcho ke liye hanikarak ho sakta hain. Darasal Karele ke beej ko cover karne wale Lal tatv Vishakt hote hain, Jo bachcho mein Ulti aur diarrhea jaisi bimari phaila sakte hain.
Post a Comment