Header Ads

Ab desh mein taiyaar honge Currency Note ke paper, Sabse pahle chhapega 1000 Rupaye ka Note.

1000 RupeesAb noto ki chhapaai desi kagaz se hogi aur iske liye kagaz ki pahli khep taiyaar ho gyi hain. Shanivar ko ek samaroh mein kendriya mantri Arun Jaitly ne Madhya Pradesh ke Hoshngabad mein 495 Crore rupaye ki lagat vali 'New Bank Note Paper Line' factory ka udghatan kiya. Unhone chhapaai ke liye kagaz, Currency Note Nasik press ke liye rawana kiye. Vitt mantralay ke anusaar pahle khep mein 1000 Rupaye ke noto ki chhapaai hogi. 


6 Hazar Metric tone production 

Yaha har saal 6 Hajaar Tone kagaj ka utpaadan kiya jayega. New Bank Note paper Line mein Latest security system laga hua hain. Factory se environment ko koi nuksaan nahi hoga. Yeh bahut kam paani aur bijali se kagaj banayegi.

Do aur factories lagaai jayengi 

New Paper Factory Security Printing & Meeting Corporation of India Limited dwara shuru kiye gye Bank Note paper ke deshikaran ka ek hissa hain. Sutro se mili jankari ke anusar, Iske alawa Security Printing & Meeting Corporation of India ne Bank Note Paper Mill India Private Limited ke saath milkar ek sanyukt upkarm ke tahat Mysore mein 12 Hajar tone ki capacity wali paper machine ki do extra factories lagaai gyi hain. Inmein commercial production is saal ke ant tak shuru ho jayega.


3D water mark wale Bank note chhapenge 

Is note factory mein Vishesh suvidhaon se yukt  prayogshala hogi  aur Online Quality monitoring aur control system hoga. Paani aur Electricity ke upbhog ko kam karne ke liye latest technology ka istamal kiya jayega. Yeh factory sabhi mulya varg ke 3 D water mark wale bank note paper ki manufacturing karegi.


Abhi ek aayaat kiya jata tha note ka kagaj 

Vatrmaan mein noto ki chhapaai ke liye kagaz aayaat kiya jata hain, Jabki isme istemal hone wali syaahi desh mein hi banti hain. Vitt Varsh 2013-14 mein noto ke liye kagaz aayaat 1688.21 Crore rupaye kharch huye thay. Vahi 2011-12 aur 2012-13 mein Yeh krams: 1090.36 Crore aur 1332. 84 Crore rupaye rahi thi.