Header Ads

15 June 2015 se BSNL par National Roaming hogi Free.

BSNLBSNL ne apne telecom users ko 15 June 2015 se ek nayi saugat dene ka faisla karegi jo unke bill mein katauti karegi. Darasal BSNL ne 15 June se national roaming khatm karne ka ailan kiya hain.



BSNL ne khatm ki roaming 

BSNL ne aagaami 15 June se national roaming par lagne wale shulk ko khatm karne ka faisla kiya hain. Suchana Prasharan Mantri Ravi Shankar Prashad ne is bare suchna dete huye kaha ki 15 June se  BSNL Pure desh mein roaming free karne ja rahi hain. Iske saath hi Wi-Fi hotspot par suchna dete huye Prashad ne kaha ki unki sarkar yeh aashvaasan dilayegi ki agle 2 saalo mein desh bhar ke famous tourist spots par Wi-Fi hotspot skriya ho jaye, Iske saath hi July tak Mobile Number Portability shuru karne ki suchna di. Gyat ho ki sarkar ne deshbhar mein 2500 Wi-Fi points lagane ki yojana banaai hain. Isme desh ke parmukhya shahar shamil hain. 


TRAI ne diye sanket 

Telecom Authority of India pahle hi telecom companies dwara liye jane wale roaming charges par kainchi chala chuki hain. TRAI ne sabhi companies ko apne roaming charges mein bhari antar karne ka adesh diya tha. Isme call par liye jane wale charges aur National SMS shamil thay. Lekin BSNL ne charges kam karne ki jagah khatm kar diye hain. Iske alawa May mahine mein BSNL ke prepaid aur Postpaid users dwara use kiye jane wale Tariff charges ko 40% tak kam kiya ja chuka hain.