Amla khane ke fayde (Benefits of Amla)
Amle se ham sabhi chir-prichit hain aur adhikansh log iske aushadhiya mahatv ko bhali-bhanti jante hain. Gharo mein Amle ka aachaar aur murabba bade hi saunk se taiyaar kiya jata hain aur iska sewan bhi sehat banane wala hota hain. Ayurveda se lekar Modern science bhi Amle ke aushidhiy guno ka loha manta hain. Aadiwasi bhi Amle ko anek herbal formulo mein ek mahatvpuran aushidhi ke taur par upyog mein laate hain. Chaliye jante hain Amla ke Gun aur iske kuch Nuskhe.
1. Moonh mein chhale hone par Amle ke Pattiyo ko chabaya jaye , To chhalo mein aaraam mil jata hain. Khana khate samay agar Jeebh daant ke niche aakar cut jaye aur khoon nikalne lage , To turant Amle ki pattiya chaba le.
2. Amla ke sukhe phalo aur pattiyo ki saman matra (lag-bhag 4gram) li jaye aur inhe kuchal liya jaye. Is mishran mein Haldi ka churan milaya jaye aur din mein kam se kam 2 baar bhojan ke baad liya jaye. Herbal expert ke anusaar yeh Madhumeh (Diabetes) ko control karne ka bahut hi badhiya formula hain.
3. Amla ke kachche phalo ka 1 glass juice taiyaar kare aur isme kareeb 2 gram Haldi churan mila kar rojana piye, to yeh kafi energetic hota hain. Yeh Diabetes ke liye bhi behad faydemand hota hain. Modern science bhi Amla Juice aur Haldi ke mishran ko Madhumeh ke liye kargar manta hain.
4. Amle ke fruits ke churan aur Ashwagandha ki jado ki saman matra ka sewan pratidin kam se kam 2 baar karna behtar swaasth ke liye ek tonic ki tarah mana jata hain. Jaha yeh Paurush shakti ke liye uttam hain, vahi Madhumeh ke control ke liye bhi uttam hain.
5. Amle ke Juice (kareeb 5ml) taiyaar kar , isme 5 Gram Gay ka Ghee milaya jaye aur har roj raat ko sone se pahle liya jaye, to un logo ko kafi fayda hota hain, Jinhe Virya mein kam shukaraano ki shikayat hoti hain. Aadiwasi herbal jankaro ke anusaar lag-bhag 1 mahine tak iske sewan se fark mahsoos kiya ja sakta hain.
6. Sharirik takat aur majbooti ke liye Amle ke fruits ko uttam mana gya hain. Amle ke phalo ke churan ke saath agar Giloy ke tane ka churan bhi mila liya jaye, to sharir mein jabardast urja ka sanchar hota hain. Kuch aadiwasi ilaako mein is mishran ke saath chhota Gokharu ki jado ka churan ko bhi milaya jata hain aur ise doodh ke saath raat ko sone se pahle liya jata hain.
7. Shahad ke saath Amle ka churan khane se Sharirik aur mansik shakti badhti hain. Amle ko agar Til ke tel ke saath mila kar 20 dino tak lagatar khali pet subah ko khaya jaye , To Sharir ko chust aur drust hone mein jyada waqt nahi lagta hain. Yeh mishran swasthvardhak hota hain.
8. Aadiwasiyo ke anusaar jinhe peshab mein jalan ho , unke liye amla ek faydemand upay hain. Amle ke phalo ka ras taiyaar karke isme swaad anusaar shakkar aur shahad aur ghee mila kar pilaya jaye , To peshab ki jalan shant ho jati hain .
9. Amle ka phal, Peepal ki chhal aur Chitrak ki pattiyo ki saman matra (6Gram) lekar 40ml paani ke saath ubala jaye aur kadha taiyaar kar ise din mein har char se paanch ghanto ke antraal par pilaya jaye, to rogi ka bukhaar utar jata hain.
10. Amle ke phalo ko kuchal kar Ghee mein Senka jaye aur ise sungha jaye , to naak se nikalne wale khoon ya Naksir mein aaraam milta hain. Ise naak ke bahari taraf lepit bhi kiya jana chahiye, Jald Aaraam milta hain.
Post a Comment