Yeh hain Facebook ke kuch rochak facts jinke baare mein Aap shayad jante ho.
Pichle ek dashak mein Facebook Internet ki duniya mein ek bada naam banakar ubhara hain. Iske peeche Mark Zuckerberg ka bahut bada haath hain. Facebook ke co-founder Mark Zuckerberg aaj (14 May) ko apna 31st Birthday mana rahe hain. Is saal 4 February ko bhi Facebook ne apne 11 saal pure kar liye. Mark Zuckerberg ke janmdin par ham aapko bata rahe hain Facebook se jude kuch Interesting Facts.
Kyon hain Facebook ka rang Neela
Facebook ke neele rang mein range hone ke piche sidha-sa karan hain. Iske peeche Mark Zuckerberg ka color blind hona hain. 'Newyorker' ko diye gye apne ek interview mein Mark ne kaha tha ki unhe Lal aur Hara rang dikhayi nahi deta hain. Isliye Neela rang unke liye sabse aasaan rang hain.
Facebook shuru se hi ek rang mein ranga hua hain. Mark ise hamesha se jitna ho sake , Utna sada banana chahte thay. Yahi vajah hain ki unhone Facebook ko neele rang mein rang diya.
Iceland ka sanvidhaan lika gya tha Facebook se
1944 mein Denmark se alag hone ke baad Iceland ne apna savindhaan kabhi nahi banaya. Yaha hamesha se Denmark ka sanvidhaan hi mana jata tha. Iceland ne 2011 mein apna Sanvidhaan likhne ka faisla liya. Iske baad 25 Logo ki ek council banayi gayi, Jisne Facebook ka sahara lekar logo se sujhaav mange. Is council ne Sanvidhaan ka draft Facebook par post kiya. Is draft par logo ne apne comments diye. Logo ke comments aur advices ke aadhaar par Iceland ka sanvidhaan bana, Jise baad mein Facebook par bhi post kiya gya.
Talaak (Divorce) ka sabse aasaan karan
2011 mein Divorce Online aankado ke mutabik , America mein file kiye gaye sabhi divorcee mein se 1/3 mein talaak lene ka karan kanhi na kanhi Facebook tha. Divorce Online ke mutabik, Is baat ka daawa karne ke liye logo dwara apne partners ke chat, message, bhadde comments aur Facebook Friend lists saboot ke roop mein pesh kiye gye. Social Media ke aane se rishto mein badlaav dekhne ko mila.
83% call girls ke hain Facebook Page
Facebook par 83% prostitute (Randiyon) ke Fan page bane huye hain. Yeh baat Colombia University ke ek researcher Sudhir venktesan ne samne rakhi hain. Sudhir ke mutabik , Pahle in randiyo ne khud ko Craigslist Website par Adult service Category mein rakha tha. Iske baad trend badalte hi sabhi Facebook par chali gyi.
Facebook par Mark Zuckerberg ka shortcut
Facebook profile par Mark Zuckerberg ke page par pahuchane ke liye ek khas shortcut bhi hain. Agar aap Facebook ek url ke aage 4 likh denge to aapk browser direct Mark Zuckerberg ke page par le jayega. Mark ne 1 number id ki jagah 4 number ki id chuni hain. Mark ke page ke liye www.facebook.com/4 URL likhna hoga. Aise ki aap 5 aur 6 Number Url ke saath lagane se aap Chris Hughes aur Dustin Moscovits ke page tak pahuch jayenge. Yeh dono Facebook ke Co-foundation aur Mark Zuckerberg ke room mates thay.
Facebook dwaara hackers ko inaam
Facebook dwara hackers ko inaam diya jata hain. 500 $ ki rashi oos vyakti ko di jati hain jo Facebook ko hack kar sake. Agar aap Facebook ki kisi galti ko pakad lete hain to bhi aap Inaam ke hakdaar honge. Halaki is niyam ke saath Facebook ki kuch sharte bhi hain. Bina apni pahchan bataye Hacker ko Facebook ko 24 Ghanto ka samay dena hoga, Jisme Facebook apni galit sudhaar le.
Location ke hisaab se badal jata hain Facebook ka Globe
Shayad aapko na pata ho , Lekin Facebook Globe (Notification Tab) users ki location ke saath badal jata hain. Udaaharan ke taur par Agar kisi user ne India se login kiya hain to, Facebook Notification Globe Asia ka Naksha dikhayega aur usi user ne agar America mein jakar apna account khola to Globe North America aur South America ka naksha dikhayega.
Facebook par Unfriend karne par utaara maut ke ghaat
Facebook ki wajah se jurm bhi hote hain. Is baat ka saboot hain America ke Tennessee mein hatya. Billy Clay Payne Jr. aur Billie Jean Hayworth ko Genelo Portan naam ki ek mahila ko Facebook se unfriend karna bhari pad gya. Mahila ke pita ne is baat se khafa hokar dono pati-patni ko maar diya. Is ghatna mein unka 8 mahine ka bachcha bach gya.
Post a Comment