Header Ads

Ananas Khane ke fayde (Benefits of PineApple)

PineappleHari pattiya, Golden Orange Skin, Sar par bane guchhchhe aur moti parat wala Pineapple, Jise Ananas bhi kaha jata hain mein kai gun maujood hain. Yeh tasty hone ke saath healthy bhi hota hain. Ananas mein kai saare phalo ke gun paye jate hain. Market mein milne wale Pineapple ka swaad khatta-meetha hota hain. Garmiyo mein ise khana aur iska juice peena bahut hi jyada faydemand hota hain. 


Aaiye jante hain Ananas (Pineapple) khane ke fayde:-

1. Free Radicals damage ko rokta hain

Pineapple Anti-oxidants ka bahut achchha source hota hain, Jo free radicals ki samsya ko khatm karta hain. Isse cells surkashit rahte hain. Yeh Anti-oxidants dil ki bimariyo, Arthritis, Cancer aur  Atherosclerosis bimari ko door rakhne mein madad karta hain. 


2. Sardi-Khansi se doori 

Pineapple mein Vitamin C aur Bromelain prayapt matra mein paye jate hain, jo infection failaane wale virus se ladte hain. Dawaaiyo ke saath-saath ise khane se Sardi-Khansi ki samsya nahi hoti aur huyi hain to jald hi theek ho jati hain. 


3. Masoode swasth rakhta hain. 

Khane mein laparvaahi, Saliva ki kami , Theek se brush na karna aur bhi kai prakar ki laparvaahi, moonh ki samsyaon ko janm deti hain. Isse na sirf daanto, Balki masoodo par bhi asar padta hain. Unme sujan aur badboo paida hone lagti hain, Lekin Pineapple kha kar is samsya se jald chhutkara paya ja sakta hain. Saath hi ise khane se daant bhi  majboot hote hain. 


4. Majboot haddiya

Haddiyo ki majbooti ke liye sharir mein calcium aur Meganize ki pryapt matra ka hona bahut hi jaroori hain. Iski purti kewal dairy products kha kar nahi ki ja sakti hain. iske alawa phalo, Sabut anaaz, Suraj ki roshini aadi ka sewan karna bhi jaroori hota hain. Pineapple mein Meganize bahut jyada matra mein paya jata hain. Sirf 1 cup Pineapple juice mein 73% meganize hota hain.  


5. Macular degeneration 

Isme dheere-dheere dekhne ki capacity kam ho jati hain. Jyadatar umar badhne ke saath is samsya ko dekha gya hain, Jisme padhne ke saath saath cheezo ko pahchanane mein bhi preshani hoti hain. Pineapple mein mauzood Beta-Carotene Aankhon ki sehat ka khyaal rakhta hain. Isse aankhon ki roshini barabar bani rahti hain, Saath hi Aankhon mein paani aane ki samsya, Motiyabind, Aankhon ke sukhepan ki samsya se bhi nijat milti hain. 

6. Sujan ki samsya ko kam karta hain. 

Pineapple khastaur par Anti-Inflammatory guno ke karan jana jata hain. Jo chot ke karan hone wali sujan aur Arthritis ki sujan ko kam karne ke saath hi haddiyo ko majboot banata hain. 


7. Healthy heart ke liye 

Cholesterol level ko control karta hain, Jo healthy heart ke liye bahut hi jaroori hain. Pineapple ka juice peena ya iska phal khana dono hi faydemand hota hain. Lekin iske saath hi healthy khana bhi utna hi jaroori hain. 


8. Cancer se bachata hain. 

Anti-Oxidants ki matra cells ko damage hone se rokta hain aur free radicals ko khatm karta hain. Yeh cancer ka mukhya karan hote hain. Cancer se doori banaye rakhne mein Pineapple khana faydemand hota hain.  


9. Pimples se nijat

Pineapple mein paye jane wali Vitamin C ki matra skin ko healthy rakhti hain. Saath hi chehre par padne wali asamay jhurriyo ko kam karti hain. Isse tavcha lambe samay tak jawan bani rahti hain. Saath hi ismein maujood  Bromelain aur Anti-Inflammatory Enzymes, Vitamin C ki Capacity ko badhate hain. 

10. Pet ke keede maarta hain. 

Isme paye jane wala Bromelain Enzyme Pachan kriya ko sahi rakhta hain. Fiber ki matra Digestive system ko durust rakhti hain. Saath hi ise khane se pet ke keede, Tapeworm bhi marte hain.