Header Ads

Bhukamp kyo aate hain. why Earthquake comes knowledge in Hindi.

BhukampPichle 15 dino ke ander Nepal, China aur North India mein Bhookamp ke jhatke mahsoos kiye gye. Tivrata itni tez thi ki Nepal ki aadhi aabaadi ko isse nuksaan hua. Kai jaane gyi aur kai buildings khatm ho gyi. Darasla Bhookamp ke is theory ko English mein  Plates Tectonics aur Hindi mein Plates vivartniki kahte hain. Is theory ke anusaar Prithvi ki upari parat lag-bhag 80 se 100 Kilometer hoti hain. Jise sthal mandal kahte hain. Lekin Swaal yeh hain ki Aakhir Bhukamp aata kyon hain, Yeh janna aapke liye  jaroori hain.



Kyon aata hain Bhookamp (Bhukamp/ Earthquake)


Dharti ki plates ke aapas mein takrane se. Hame prithvi ki saranchna ko samjhana hoga. Puri Dharti 22 Tectonics plates par stith hain. Iske niche taral padaarth lava hain. Yeh plates isi Lave par tair rahi hain. Aur inhi plates ke aapas mein takrane se energy nikalti hain. Jise Bhookamp kaha jata hain. 


Lekin Plates aapas mein kyon takraati hain ?


Darasal yeh plates behad dheere-dheere ghoomti rahti hain. Is prakar yeh Har saal 4 se 5 mm apne sthaan se khisak jati hain. Koi plate kisi doosri plate ke nikat aati hain , to koi ussay door ho jati hain. Aise mein yeh kabhi-kabhi takra jati hain. 


Plates stah se kitni neeche hoti hain ?


Kareeb 30-50 Kilometer tak niche hain. Lekin Europe ke kuch jagaho par yeh isse bhi kam gaharaai par hain. 


Bhukamp ke kender aur tivrata se kya matalab hain ?

Bhookamp ka Kendar vah sthaan hota hain , jiske theek niche plates mein hulchul se bhoo bhargiya energy nikalti hain. Is Jagah par bhukamp ka kampan jyada hota hain. Kampan ki power jaise-jaise door jati hain, iska asar kam hone lagta hain. Phir bhi yadi Rector Scale par 7 Ya isse adhik tivrata vale bhookamp hain to, aas-paas ke 40 Km ke daayre mein Jhatka tez hota hain. Lekin is baat par bhi nirbhar karta hain ki Bhookamp ka direction kis taraf yaa dayre mein hain.  Yadi kampan ka direction upar ki taraf ho to kam area prabhavit hota hain. 


Bhookamp ki gaharaai se kya matalab hain ? 


 Matlab saaf hain ki Hul-chul kitni gaharaai par huyi hain. Bhukamp ki gaharaai jitni jyada hogi , Uski tivrata utni hi kam mahsoos hogi. 


Kya Bharat ko Bhookamp se jyada khatra hain?

Indian Plate Himalaya se lekar Antarctica tak faili hain. Yeh Pakistan border se sirf touch karti hain. Yeh Himalaya ke south mein hain. jabki   Eurasian plate Himalaya ke North mein hain. Indian plate north-east disha mein aur Eurasian plate jisme china aadi desh aate hain, Aur Indian plate dheere-dheere Eurasian plates ki aor badh rahi hain. Yadi yeh dono aapas mein takrati hain to Bhookamp ka kendar Bharat hoga. 


Bharat ke kaun-kaun se hisse hain Bhukamp ke hisaab se jyada khatre mein hain ?

Bhookamp ke khatre ke hisaab se Bharat ko 4 zone mein divide kiya gya hain. Zone 2 jo ki South India hain jo ki sabse kam khatre wala area hain. Zone 3 Central India , Zone-4 New Delhi Samet pura North India, Zone-5 Himalayan Area aur North-East aur Kachh. Zone-5 Sabse jyada khatre wala Area hain. 


Bhookamp ke khatre se kaise bache ?

Naye gharo ko bhukamp rodhi banaye. Jis jagah par aap ghar bana rahe hain, Uski jaanch kara le ki vaha ki jameen ki saranchana bhukamp ke lihaz se majboot hain ya nahi.





○ Lekin agar ghar purana ho to kya kare, Kya usay todkar bhookamprodhi banaye ?

Nahi , Yadi ghar purane hain, to retrofitting ke jariye usay bhukamp rodhi banaya ja sakta hain. Yeh technique available hain. Isse diwaaro ko paas mein joda jata hain.


Kya Bhukamp rodhi bhawan mahnge hote hain ?

Yeh Jaroori nahi , Jis prakar se Paushtik khane ka mahnga hona jaroori nahi, Usi tarah se Bhookamp rodhi makaan bhi mehnge ho,  yeh jaroori nahi hain. Bhukamp rodhi makaan banane ki taknik alag hain.

Bhukamp rodhi makaan banane ke liye kya desh ke paas Engineer hain ?

Nahi, Bhukamp engineering ki  Study bahut kam hoti hain. Lekin training se Manpower taiyaar ho sakti hain.


Retrofitting kitni mahngi hain ?

Yeh bhawan ki situation par nirbhar karta hain. Lekin bhawan ke keemat ke 10% se jyaada kharch nahi aata.

Retrofitting clinic kya hain ?

Ek aise center hain, jaha bhawano ki jaanch karne wale aur Retrofitting Experts mauzood hote hain.



○ Yadi Achanak Bhukamp aa jaye to kya kare ?

Ghar se bahar khule mein nikale. Ghar mein phas gye hain to Bed ya majboot table ke ander chhupe. Gharo ke kone mein khade ho sakte hain.





○ Kya Bhukamp aane ki bhavishywani ki ja sakti hain? Kya Bhookamp aane ka Sanket milta hain?

Nahi, Duniya mein abhi bhi scientist safal nahi huye hain. Sirf yeh bataya ja sakta hain ki kaun sa area bhukamp ke lihaaz se sanvedansheel hain. Lekin Abhi tak Aisi koi Machine nahi bani hain jisse yeh pata lag sake ki bhukamp kab aayega, Kaha Bhookamp aayega aur Kitne baje aayega. Is disha mein shodh ho rahe hain, Ummeed ki jani chahiye ki future mein scientist aisi machine banane mein safal ho sake, Jisse bhukamp ke aane ka pata pahle se lag sake aur Jaan-Maal ka nuksaan na sake.





○ Bhookamp se hone wale nuksaan se kaise bache ?

Iske liye aap ghar ya anya sampati ka beema (Insurance) karvaye.