Isabgol ki bhusi ke fayde (Benefits of Psyllium Husk)
Pachan tantra se judi samsyaon ke liye Isabgol ki bhusi sabse jyada faydemand hoti hain. Pet ki samsyaon jaise Pechish mein lambe samay se Isabgol ki bhusi ka upyog ho raha hain. Aaiye jante hain iske faydo ke baare mein.
1. Kabz, Dast, Jodo ka dard, Tatti mein khoon aana , Pachan tantra sambandhit gadbadi, Sharir mein paani ki kami, Motapa aur diabetes mein Isabgol ki bhusi labhdayak hain.
2. Jodo ke dard , Kabz aur Pachan tantra ko durust karne ke liye Raat ke khane ke baad ek glass doodh ke saath Isabgol ki bhusi le.
3. Dast ke dauraan Khoon nikale ya phir lambe samay se kabz ho to aadhaa cup paani ke saath Isabgol ki bhusi le.
4. Isabgol ki bhusi 10 se 12 ghante baad asar karti hain. Isliye agar sham ko 6 baje ke aaspaas Isabgol ka pryog karenge to subah samay par motion hoga. Jab kabz theek ho jaye to iska sewan band kar de.
5. Wajan ghatane ke liye din mein 3 baar ise khana khane se aadha ghante pahle lena chahiye. Dame ki shikayat mein subah-shaam 2-2 chammach Isabgol ki bhusi garm paani ke saath lena chahiye.
6. Isabgol ka vaise to koi side-effect to nahi hain, Lekin lambe samay tak prayog na kare, varna Sharir is par Nirbhar hone lagta hain.
Post a Comment