Header Ads

Santra Khane ke fayde (Benefits of Orange)

ORANGEOrange ka naam sunte hi khatti-meethi feelings aane lagti hain. Shayad aapko pata na ho ki orange energy ko boost karta hain. Din mein 2 Orange jaroor khane chahiye. Isse dinbhar energy bani rahegi. Aaj hum aapko Orange (Santra) se hone wale fayde ke baare mein bata rahe hain.



1- Cancer se bachaav ke liye 

Orang mein Citrus limonoids hota hain. Yeh breast , Skin , Pet aur colon jaisi jagaho par hone wale cancer ke bacteria se bachata hain. 


2- Kidney ke rog se bachav 


Roj ek glass Orange juice peene se kidney mein hone wale dikkato se chhutkara mil jata hain. 


3- Liver Cancer ka risk kam hona 

Japan ki ek study ke anusaar Orange ka juice peene se Liver mein hone wale cancer ka khatra kam ho jata hain. Aisa mana gya hain ki Orange Juice mein Vitamin A ki matra adhik hoti hain. Ise ham Carotenoids ke naam se jante hain. 


4- Kam cholesterol

Orange mein Fiber ki matra adhik hoti hain. Isliye yeh Cholesterol ko kam rakhne mein yeh madad karta hain. 

5- Boost heart health 

Orange mein potassium aur electrolyte minerals dil ke liye sahi rahte hain. Sharir mein Potassium ki matra kam hone par dil ki dhadkan kam hone lagti hain, jise arrhythmia kahte hain. 


6- Bimariyon se bachav

Orange mein Vitamin C bharpoor matra mein hota hain. JO neutralizing free radicals ko protect karne mein madad karta hain. Free Radicals cancer aur dil se judi dikkaton mein bachav karta hain. 

7- Viral Infection

Study ke anusaar, Orange mein polyphenols hota hain, jo Body ko viral infection se bachane mein madad karta hain.

8- Kabz door karne ke liye 

Santre mein fiber hota hain , Vah bhojan ko pachane aur kabz door karne mein madad karta hain.

9- Aankhon ke liye 

Orange mein carotenoids Compound aur Vitamin A hota hain jo aankhon mein padne wale dhabbon ko kam karta hain. 


 10- Blood pressure ko sahi rakhta hain.

Orange mein magnesium aur  Hesperidin paya jata hain jo blood circulation ko sahi rakhta hain


11- Skin protection 

Orange mein Beta-carotene hota hain, Jismein Anti-Oxidants paya jata hain. Yeh body cell ko damage hone se bachata hain. Isse skin par daag-dhabbe nahi hote.