Header Ads

Elaichi khane ke fayde (Benefits of Cardamom)

ElaichiElaichi har Bhartiya gharo ki rasoi ka ek aham hissa hain. Aam taur par masale ke roop mein istemal ki jane wali Elaichi ko mouth freshener ke roop mein bhi use kiya jata hain. Elaichi ka vanaspatik naam Elettaria Cardamom hain. Vaise to Elaichi ko khane mein sugandhdayak masale ke roop mein pryog kiya jata hain, Lekin Gramin ilako mein bujurg ise anek prakar ki bimariyo mein upyog karte hain. Aaiye jante hain Elaichi se jude herbal nuskhe ke baare mein.



1. Cancer ko rokta hain :- Elaichi mein cancer se ladne wale chemical jaise Indole-3, Carbinol, dayaindolila  aur methane aadi paye jate hain, Jo cancer cells ko badhne se rokne mein safal mane jate hain. 


 2. Utli , Jee machlane par :-  Paan ke taze hare patte mein Elaichi ke daane mila kar khane se Seer chakraane, ghabrahat aur Jee machlane jaisi shikayato mein aaraam milta hain. Ulti hone ke baad 2-4 daane elaichi ke chabane se moonh ka swaad badalta hain aur rahat milti hain. 


3.  Kabz ke samsya hone par :-  Patalkot ke aadiwasi Harra ke beezo ka churan (1 chammach) , 1 ya 2 chammach elaichi ka churan aur thodi is ajwain milakar apach ki samsya hone par rogiyo ko dete hain. Mana jata hain ki yeh nuskha pachan prakriya ko sucharu banata hain. 


4. Peshab mein jalan hone par :- Patalkot ke aadiwasi Safed Musali ke jado ke churan (5Gram) ke saath Elaichi (2 se 3 gram) milakar 1 cup Doodh mein ubalte hain, aur peshab mein jalan ki shikayat hone par din mein 2 baar peene ki salah dete hain. In Aadiwasiyo ke anusaar Elaichi sheetal prakriti ki hoti hain aur thandak deti hain. 


5. Purusho mein dikkat hone par :-  Aadiwasiyo ke anusaar, Kali Musali (5-10 gram), Badam (1 ya 2), Chiraunji ki daane (2 gram) aur 3 elaichi ko milakar paste bana kar roj raat ko sone se pahle khane par Purusho mein napunskta dheere-dheere khatm ho jati hain. 


6. Aadiwasiyo ke anusaar 3 se 4 Elaichi, Chui-mui ki jade (2 gram) , Semal ki chhal ( 3gram) ko mila kar paste bana kar 1 glass Doodh ke saath har roj raat ko sone se pahle peene se purusho mein mardaana takat badhti hain aur virya gadha hota hain.



7. Urine Problems hone par :- Jin logo ko peshab hone ke samay dard ya kathinaai ka samna karna padta hain, Unhe Vidarikand, Laung aur Elaichi ki barabar matra mila kar din mein 3 baar chabana chahiye. Isse yeh samsya dheere-dheere khatm ho jati hain. 


8. Peshab se judi anya samsyaon mein rahat ke liye aadiwasi Mithi Neem ( Kadi Patta) ke jado ka ras taiyaar karte hain. Ras ki 20 gram matra mein 2 Chutaki Elaichi ke daane milakar rogiyo ko dete hain. Isse tezi se aaram milta hain. 


9. Gande toxins ko bahar nikalne ke liye :-  Elaichi ko ek behtarin detox bhi mana jata hain. Kyonki iske sewan se mutra tyaag ki prakriya mein tezi aati hain. Iske sewan se peshab tantra, Kidney aur bladder ke lavan, Adhik paani aur kai tarah ke toxins bahar nikal jate hain.