Header Ads

Smartphone ki speed badhane ke 5 Tips.

Smartphone speed tipsPuri duniya mein Android smartphone ka market sabse bada hain. Isliye Google iske OS ko samay samay par update karte huye users ko naya experience dene ki koshish karta hain. Halaki ki kabhi kabhi aapka smartphone jyada pressure padne se slow performance karne lagta hain. To aaiye jante hain aise hi 5 tips , Jo aapke Android phone ko kar denge Tez....



1. Clean Up those Apps :- Kisi bhi smartphone mein application ka bhandar nahi rakhna chahiye. Phone mein jitne jyada apps install honge, Aapka phone utna hi jyada slow perform karne lagega. Aise mein Is baat ka dhyaan rakhna chahiye, ki Jo App aap use kar rahe hain, Vahi install rakhe. Baki faltu apps jo aap use nahi kar rahe hain, Unhe uninstall kar de. Halaki yeh aapke smartphone ki speed ko jyada to nahi badhayega, Lekin kafi had tak phone ke hang hone ki problem khatm ho jayegi. 


2. Watch your widgets : - Android smartphone users widget ka jyada istemal karte hain. Kisi bhi App ka shortcut key banakar use karna hamari aadto mein shumaar ho gya hain. Vaise ise jald se jald badal liya jaye to behtar hoga, kyonki jitni adhik sankhya mein Widget jyada honge. Aapka phone utna hi jyada slow ho jayega. Aise mein sirf Useful widget ko hi carry kare. Faltu widget ko remove kar de. Iske alawa Live widgets aur weather widgets phone ki performance par bahut hi jyada asar dalte hain. 


3. Use a task Killer :-  Task killer App kisi bhi smartphone ki performance speed badhane mein help karta hain. Iska mukhya kaam hota hain, ki aapke smartphone mein jitne bhi faltu ke task chal rahe hote hain, unhe yeh band kar deta hain. Jiske chalte phone ki speed badh jati hain. Vaise play store mein Advance task killer app maujood hain. Jise download karke iska fayda uthaya ja sakta hain. Yeh Free mein milega.


4.  Live Wallpaper must Die :-  Live wallpaper se jitna bacha jaye, utna hi sahi hain. Agar aapke smartphone mein Live wallpaper hain, To yeh phone ki performance ko definitely gira dega. Halaki yeh agar purane hardware par run kar raha hain , to turant hi hata de. Iske alawa agar 3D wallpaper bhi lagaye hain , to isse bhi bachna chahiye. Gaurtalab hain ki is tarah ke wallpaper se phone ki battery bhi jyada kharch hoti hain. 


5. Get Rooted :- Yeh aapke phone ki performance ko badhane ka sabse best tarika hain. Ji haa agar phone ko root kar diya jaye to iski performance pahle se kai guna jyada badh jati hain. Halaki yeh tarika kai logo ko bewajah lagta hain. Lekin yeh Phone ko boost karne ka sabse asaan tarika hain. Iske liye users ko sirf " Clean Dried " App ko install karna padega. Ek baar jab yeh install ho jayega to iski help se phone ki performance ko asaani se badhaya ja sakta hain.