Mooh ke chhale se rahat pane ke liye desi nuskhe aur upay. Mouth ulcer home remedies.
Spicy aur chatpata khana sabko pasand hota hain, Lekin moonh mein huye Chhale aapko inse door kar dete hain. Chhalo ke chalte kuch chatpta khate hi moonh mein jalan hone lagti hain. Aise mein aapko bolne mein bhi dard hone lagta hain. Lekin kuch gharelu upay apnakar aap in dard bhare chhalo se chhutkara pa sakte hain.
Tulsi
Tulsi ke patte aapki chhalo ki preshani ko door kar sakte hain. Tulsi ke patte le aur unhe paani ke saath chabaye. Patto ka ras chhalo ke dard mein rahat dega aur unhe theek karne mein madad karega. Din mein 2 baar tulsi ke patte khane se chhale jald hi theek ho jate hain.
Toothpaste
Kisi bhi samanya Toothpaste mein barabar matra mein Baking soda milaye aur ise chhalo par lagaye. Is mixture ko rojana lagaye, jab tak chhale ka safed hissa khatm nahi ho jata hain. Dhyaan rahe Isse chhalo mein jalan hone lagegi , Iske baad mein is par Aloe Vera Gel lagaye.
Gulkand
Agar aapke masoodo mein sujan rahti hain to subah-shaam ek chammach gulkand khaye. Isse masoodo mein sujan ya khoon aane ki samsya door ho jati hain. Saath hi Muh ke chhale ko bhi door karne ke liye gulkand khana faydemand hota hain.
Pyaaz
Pyaz mein sulfur bharpoor matra mein paya jata hain, jo mooh ke chhale par jaldi asar karta hain. Isliye salad mein pyaz khaye. Halaki iske baad aapko brush ya mouth freshener istemal karna padega.
Paani ke garare
Chhalo se nijat paane ke liye Paani ke garare kare. Iske liye Gungune paani mein thoda sa namak daal le. Namak Anti-septic hota hain, Jo chhalo par jaldi asar karta hain. Gungune paani mein namak dalkar garare karne se chhale theek hone lagte hain.
Santre (Orange) ka juice
Sharir mein Vitamin C ki kami se bhi moonh ke chhale hone lagte hain. Aise mein taze santre ka juice piye. Ismein Vitamin C ki bharpoor matra hoti hain, Jo chhalo ko theek karne ke saath saath aapki sehat ke liye bahut faydemand hain.
Shahad
Shahad sharir ko nami deta hain aur Dehydration se bachata hain. Shahad ko moonh ke chhale par lagaye. Isse jalan nahi hoti hain aur ve jaldi theek hone lagte hain. Agar aap chahe to Shahad mein haldi mila kar iska paste bana sakte hain.
Nariyal
Nariyal, Nariyal Paani aur Nariyal ka tel teeno hi Moonh ke chhalo se chhutkara pane mein madad karte hain. Nariyal paani peene se sharir thanda rahta hain, Jisse chhale khatm hone lagte hain. Nariyal ka tel chhalo par lagane se rahat milti hain. Vahi Nariyal chabane se chhalo ka dard aur jalan door hoti hain aur yeh jaldi hi theek ho jate hain.
Post a Comment