Header Ads

Litchi, Lichi ya Leechee Khane ke fayde (Benefits of Lychee)

LichiGarmiyo ke mausam mein Lichi bade hi chaav se khaye jane wala fruit hain. Iska scientific naam bhi Litchi chinensis hain. China, Taiwan aur South East Asia ke kam uchaai wale jagaho par Litchi ki kheti ki jati hain. Ande ka aakaar liye lichi meethi aur naram hoti hain. Iska beej bahut bada hota hain. 



India mein Leechee ki kheti khastaur par Muzaffarpur , Bihar aur North India ke kai states mein hoti hain. Lekin sirf Muzaffarpur mein hi 75% tak Lichi ki paidawaar hoti hain. 


Litchi (Leechee, Lichi se hone wale fayde)

1. Cancer

Lichi mein cancer se ladne wale kai tatv paye jate hain. Iske gude mein Flavonoids ghatak aur janlewa cancer bimaari se bachaate hain. Saath hi flavones, quercetin aur kaempferol jaise tatv tezi se badh rahe cancer cells ko badhne se rokte hain. Lichi breast cancer se bachaane mein faydemand hain. 

2. Dil ki bimari

Lichi Blood pressure ko control karne ke saath hi heart attack aur kai prakar ki dil ki bimariyo ko door rakhta hain. Rojana 1 Glass Lichi ka juice peekar aap healthy rah sakte hain, Kyonki ismein Polyphenols ki matra dil ko swasth rakhti hain. Saath hi ismen mauzood Anti-oxidants Immunity system ko chust-durust rakhne ke saath hi motiyabind jaisi bimari ko koso door rakhta hain. 

3. Pachan kriya 

Leechee pet ki safaai ke saath hi pet ki jalan ko khatm karti hain aur  bhookh badhaane ke saath hi hamari pachan kriya ko sahi rakhti hain. Ise khane se sharir mein energy bani rahti hain. Lichi ke beej mein ek prakar ka Astringent paya jata hain jo pet ke keede maarne mein sahayak hota hain. Fiber ki bharpoor matra Aanto ki bimariyo se chhutkara dilati hain. Lichi kha kar pet ki kai prakar ki problems ko door kiya ja sakta hain. 


4. Vitamin C 

Sifr Vitamin C ek aisa tatv hain, jise hamari body naturally nahi banaati hain. Iski purti khatte aur rasdaar fruits ko kha kar ki jati hain. Vitamin C anti-Aging ka kaam karti hain, Jo skin ko young rakhne ke saath kai prakar ke infection jaise Gale ka dard, Sardi-Khansi aur seasonal Bukhaar se bhi bachaati hain. Vitamin C ki tavcha, Haddiyo aur tissue ke liye hamare sharir mein bahut jaroori bhumika hoti hain. 

5. Haddiyo ko majboot banati hain

Leechee mein phosphorus aur magnesium ki bharpoor matra payi jati hain, jo haddiyo ko majboot banaati hain. Saath hi kai prakar ke minerals jaise Copper aur Meganize bhi haddiyo ko tutne se bachate hain. Haddiyo ke liye sabse jaroori tatv Vitamin D hota hain. Jiska mukhya source sooraj hota hain, Lekin Lichi se bhi kafi hud tak iski kami ko pura kiya ja sakta hain. 

6. Oligonol 

Lichi mein mauzood tatv Oligonol se  sharir mein jama extra fat kam hota hain. Blood circulation ko sahi rakhne ke saath yeh skin ko nuksaan pahuchane wale UVA kirano se bhi bachaata hain. 


7. Tavcha ki raksha karta hain

Oliy skin ke chalte chehre par hone wale daag-dhabbo se bhi litchi door rakhti hain. Yeh tavcha ki gahraai se safaai karti hain aur aapko khubsoorat tavcha deti hain. Isse skin par glow nazar aata hain. 


8. Vitamin B 

Lichi mein Vitamin B complex jaise Thymine, Riboflavin, Niacin aur Folates  ki bharpoor matra hain. jo Carbohydrate, Protein aur Fat ki matra ko control karta hain. Beta carotene ki achchi matra hamare Immune system ko sahi rakhne mein madad karti hain. 

9. Wajan kam karti hain

Litchi mein calorie bahut kam matra mein paayi jati hain aur Saturated Fat aur Fiber ki samanya matra hoti hain. Jo wajan kam karne mein kargar hain. 

 
Lichi se Skin ko hone wale fayde 

Skin ko healthy aur glowing banaane ke liye Vitamin C aur Nutrients jaise tatv Lichi mein paye jate hain, Jinhe khana bahut jyada faydemand hota hain.


10.  Asamay budhape ki samsya

Samay ke saath-saath chehre par badhti umar ka asar dikhna shuru ho jata hain. Lekin aajkal dhool, pollution, UV radiation aur dhooye ki wajah se yeh samsya aam ho gyi hain. Free Radicals asamay budhaape ka main reason hain. Lekin Lichi mein mauzood Vitamin C Ek accha Anti-oxidant hota hain. Lichi ko kha kar, Iska Juice peekar aur iske gude ko chehre par lagakar is samsya se chutkara paya ja sakta hain.

11. Free Radicals se nijaat 

Ismein Vitamin C, B, B complex aur Flavonoids paye jate hain jo pollution se ho rahe chehre ke nuksaan ko door karte hain. Free radicals Oxygen moliquels se bante hain , Jinhe dhyaan na dene par cancer ka roop le lete hain. Lekin Lichee tavcha ko nuksaan pahuchane wale tatvo se door rakhkar usay oxygen pradaan karti hain.

Baalon ke liye faydemand

Sahi aur balance matra mein khan-pan health ke saath skin aur baalo ke liye bhi faydemand hota hain. Lichi Vitamin C , Niacin aur Thymine ka achcha source hain, Jo baalon ke liye bahut jaroori tatv hain.


12. Healthy baalo ke liye 

Litchi baalon ko ander se poshan dekar usay swasth, kala, ghana aur lamba karti hain. Saath hi Seer mein blood circulation ko bhi sucharu roop se chalaane mein mahatvpurn bhoomika nibhati hain.