Header Ads

Vitamin ki kami se hone wali problems aur unke solutions.

FruitsHamare khan-paan mein bhi kai aise poshak tatv hote hain, Jinki hame rojmarra ke kaamo ke liye jaroorat hoti hain. Aaiye jante hain inke baare mein:-


Vitamin A 

Yeh swasth Aankhon ke alawa Baalon, Skin, Haddiyon aur Daanto ke liye jaroori hain. Yeh immunity ko badhata hain.

Kami se :- Raat mein Kam dikhna, Sukhi Skin aur Kamjor haddiyan

Source :- Soya Milk, Dairy Products, Gajar, Palak, Hari Matar, Tamatar ka Juice, Tarbooz, Chukandar aadi.


Vitamin B

Sharir mein Carbohydrate ko energy mein badalne ka kaam yeh Vitamin karta hain. Yeh nervous System ko normal banane aur pachan shakti ko majboot rakhta hain.

Kami se :- Dhyaan na lagna, Bhookh ki kami, Thoda kaam karte hi thakavat.



Source :- Kela, Phaliyan, Aaloo, Chukandar, Tarbooz, Saabut Anaaj.

Vitamin C

Sharir ke Parts ko ek dusre se jode rakhne mein upyogi.
 


Kami se :- Masoodo mein khoon aana, Ghaav jaldi na bharna.

Source:- Khatte Phal, Tamatar, Aaloo, Hari Mirch, Hari pattedar sabziyan.

Vitamin D 

Calcium ko sokhne mein madadgar aur Sharir mein phosphorus ke level ko badhaata hain. Haddiya majboot aur swasth rakhta hain.



Kami se :- Kamjor haddiyan

Source :- Doodh, Dhoop, Sabut Anaaj.

Vitamin E 

Sharir mein Lal rakt Kano (Red Blood Cells) ko banaane ka kaam karta hain.



Kami se :- Pet samandhit rog.

Source :- Sabut Anaaj, Daale aur Sukhe mewe (Dry Fruits).

Vitamin K

Khoon ke thakke banane se rokne ka kaam is vitamin ka hain.



kami se :- Naak se khoon aana, Antrik raktsrav (Androoni khoon ka behna)

Source:- Hari Sabziya, Soyabean.