Header Ads

Paramprik (Traditional) Drinks se paye garmi se rahat.

Natural DrinksGarmiyo mein akasar log Dehydration ka shikaar ho jate hain, Iska mukhya karan sharir mein paani ki kami hona hain. Gala sukhna, Diarrhea, Ulti, kabz aur jyada paseena aana aadi samsyae is mausam mein aam baat ho jati hain. In sabhi preshaniyo ko door karne ke liye kuch aise desi funde apnaye jo kam samay aapko jyada aaram de sakte hain.


Kairi  ka panna 

Kachche Aam yani Kairi se taiyaar kiya pana garmiyo mein amrit ke saman mana gya hain. Looh se bachane ke saath yeh dehydration ko bhi door karta hain. Vitamin C wala yeh panna Diarrhea, Pachan aur anemia se bahaata hain. Antioxidants mauzood hone se yeh cancer se bachaav karke sharir ko thandak deta hain.

Chhachh

Ise garmiyo ka sabse sasta aur sabse asardaar Drink mana gya hain. Chhachh ko jyadatar khane ke baad hi piya jata hain. Rojana chhachh peene se pet ko thandak milti hain. Ayurveda ke anusaar garmiyo mein din mein 2 baar chhachh pee sakte hain. Kala Namak, Heeng aur bhuna zeera milakar peene se pet sambandhit rogo mein araam milta hain. 


Sattu 


Chane ko bhunkar banaye jane wale sattu mein natural fiber aur carbohydrate paye jate hain. Jab tez Garmi pad rahi ho to sattu turant energy bhar deta hain aur sharir mein paani ki kami ko door karta hain. Yeh sharir ko thandak pahuchane ke saath diabetes ko bhi door karta hain.

Milk Shake 

Calcium aur Energy ka behatrin source Milk Shake swaad mein lajawaab hota hain aur ise kisi bhi samay piya ja sakta hain. Ise Kela, Coffee, Valina, Chocolate , strawberry jaise swaad mein banaane ka chalan hain. Yeh protein se bhara hi hain saath mein fruits ko shamil kar lene se isme fiber ki matra badh jati hain. 


Nimbu Paani 

Garmi ko maat dene ka isse behtar ilaaj nahi ho sakta  hain. Nimbu paani gale, kabz, Kidney stone aur masoodo ki problems mein rahat pahuchata hain. Isse blood pressure aur tension kam hota hain. Yeh Skin ko healthy banane ke saath Liver ke liye bhi faydemand hota hain. Yeh pachan kriya ko durust bana kar wajan kam karta hain.