Sony ne lauch kiya 5 inch ki display wala Waterproof Xperia M4 Aqua Dual Smartphone
Japan ki handset maker company Sony ne apna naya Xperia M4 Aqua Dual smartphone launch kar diya hain. 24,990 Rupaye ki keemat wala yeh smartphone Tuesday se bikri ke liye available ho gya hain.
5 inch ki hain display
Sony company ne apne is naye smartphone Xperia M4 Aqua Dual mein Android ka operating system diya hain. Isme aapko Android ka latest Lollipop OS milega. Company ne isme 5inch ki display lagaai hain. Iske alawa agar handset ke processor par gaur kare to Isme aapko 64 Bit Octa-core (Quad-core 1.5 GHz + Quad-Core 1.0 GHz) Processor milega. Vahi Isme 2 GB ki RAM milegi. Agar iski storage capacity ki baat kare to ismein 16 GB ki internal memory aur 128 GB tak Micro SD card ki suvidha milegi.
13 Mp ka rear camera
Sony Company ne apne is naye handset Xperia M4 Aqua Dual mein 13 megapixel ka rear camera diya hain, Jisme auto-focus hoga. Vahi ismein aapko 5 Megapixel ka front camera bhi milega. Agar connectivity ki baat ki jaye to Xperia M4 Aqua Dual mein aapko 4G, 3G, GPRS/ EDGE, Bluetooth, Wi-Fi, aadi ki suvidha milegi. Halaki battery back up mein yeh kafi behtarin hain. Isme aapko 2400 mAh ki battery milegi. Philhaal iske colour variant ki baat kare to isme aapko Black, White, aur Coral Colour milega.
Specification :-
Model
|
Sony Xperia
M4 Aqua Dual
|
Sim
|
Dual SIM
|
Display
|
45-inch (720
x 1280 pixels) IPS display
|
Memory
|
RAM 2GB, ROM
16GB, External Card upto 128GB
|
Connectivity
|
GPRS, EDGE,
4G, 3G, Wifi, Bluetooth, USB
|
Camera
|
Front- 5, Rear
– 13MP with Flash
|
OS
|
Android 5.0
Lollipop
|
CPU
|
64-bit
octa-core Qualcomm Snapdragon 615
|
GPU
|
Adreno 405
|
Battery
|
2400 mAh
|
Price
|
Rs. 24,990
|
Post a Comment