Header Ads

Kathal khane ke fayde (Benefits of Jackfruit)

JackfruitBahar se sakht aur ander se mulayam hota hain kathal. South-East Asia mein iski paidawaar sabse jyada hain, Khas tuar par Thailand aur Vietnam mein. Kathal alag-alag desho aur dweepo mein alag-alag aakaar aur alag-alag taste ke milte hain. Kathal ke gude mein Fiber bharpoor matra mein paya jata hain. Iska istemal Jam, Jelly, Chutney, Candi , Cake aur kai tarah ki mithaaiyan banaane mein kiya jata hain. Kachche kathal ka pryog kai tarah ke curry, Sabzi aur tasty dishes mein kiya jata hain. Kachcha Kathal dekhne mein kafi had tak Mutton jaisa dikhta hain, Lekin iska swaad Vegetarians aur  Non-Vegetarians dono ko bahut pasand aata hain. Aur to aur iske beejo ka upyog bahut saare desho mein snacks  ke taur par kiya jata hain. Kathal mein Body ke liye jaroori Energy aur Fat na ke barabar hota hain. Bahut saare desho mein ise sugar Syrup mein dalkar istemal kiya jata hain.



Aaiye jante hain ki Kathal khane ke kya kya fayde hote hain. 


1. Aankhon ki roshini badhata hain. 

Kathal mein Vitamin A paya jata hain, jo Aankhon ki sehat ke liye bahut jaroori hota hain. Saath hi Aankhon se related kai prakar ki bimariyo aur infection se bhi bachata hain. MotiyaBind, Aankhon se paani aana, Aankhon ka sukhapan aisi hi kuch gambhir bimariyo ke prakar hain. Anti-Oxidants ki matra aankhon ko Suraj ki hanikarak ultra-violet kirno se bhi bachati hain. 

2. Immune System sahi rakhta hain. 

Anti-Oxidants wale phal aur sabziya free radicals se bachate hain. Yeh skin ke liye bahut hi asardar hote hain. Isse asamay hone wale budhape ko rokne ke saath hi jhurriyo ki samsya ko bhi khatm kiya ja sakta hain. Kathal Skin Infection, cancer aur tumor ki problems ko jad se khatm karta hain. Vitamin C ke khazane se bharpoor kathal mein jaroori Methanol aur Ethanol hota hain. Kathal khane se immunity power badhti hain. Isse seasonal bukhaar , sardi-khansi, flue aadi se bimar hone ka khatra kafi hud tak kam ho jata hain.   


3. Energy badhata hain. 

Bahut kam phal aur sabziya instant energy dene wali hoti hain, Lekin Kathal unme se ek hain, Kyonki isme energy dene wale 2 tatv Carbohydrate aur Calorie prayapt matra mein maujood hain. Saath hi body mein asaani se ghulne aur pachne wale sugar jaise fructose aur sucrose bhi hote hain. 

Diabetes ke mareez bhi bina kisi tension ke kathal ka sewan kar sakte hain. Dhyaan rahe ki rojana kathal khana kharab nahi hota, Lekin uske saath rojana Exercise bhi bahut hi jaroori hain. 

4. Blood pressure control karta hain. 

Blood pressure ko control karne mein Potassium bahut hi jaroori hota hain. Sharir ko rojana 4700 ml Potassium ki jaroorat hoti hain, Taki sharir mein sodium ka balance bana rahe. Potassium ka balance bigadne se Arteries aur dil sambandhit kai prakar ki samsya paida ho jati hain. In sabke ke alawa Potassium heart muscles ki functioning sahi rakhta hain. Hamare sharir mein rojana 10% Potassium ki jaroorat hoti hain aur Kathal mein iski prayapt matra payi jati hain. Yeh fluid level ke saath electrolyte level ke balance ko bhi banaye rakhta hain. Isse stroke aur heart attack ka khatra kafi hud tak kam ho jata hain. 

5. Pachan kriya ko sahi rakhta hain. 

Kathal ko katkar dekhne se hi isme maujood reshe nazar aate hain, Jo pachan kriya ke liye bahut hi acche hote hain. Per 100 Gram Kathal mein 1.5 Gram khane ko pachane wale fiber hote hain. Yeh apach, kabz jaisi samsyaon se bhi rahat dilate hain. Saath hi isse gas ki problem bhi door hoti hain. 

6. Colon cancer se bachata hain. 

Kathal kha kar cancer jaisi gambhir bimari se bhi chhutkara paya ja sakta hain. Sirf iska guda hi nahi, Iske beej mein bhi cancer se ladne ke saare gun maujood hote hain. Anti-Oxidants ki matra sharir se faltu Toxins ko nikal kar usay healthy banati hain. Isse cancer ka ilaj to nahi kiya ja sakta, Lekin uske hone ki sambhavna ko kafi hud tak kam kiya ja sakta hain. 

7. Asthma mein faydemand

Dhool, Pollution aur kharab immunity system ke karan Asthma ke rogiyo ki sankhya har saal badh rahi hain. Kathal is rog ke mareezo ke liye bahut hi faydemand hota hain. Saans lene mein preshani, Attack aadi prakar ki samsyaon ko kathal ke sewan se door kiya ja sakta hain. 


8. Bawasir se nijat 

Bawasir bahut hi gambhir bimari hain, jo Anal ke aaspaas blood vessels ke sujan ke karan hoti hain. Yeh bahut dardnaak hoti hain, Jisse pet theek tarike se saaf nahi ho pata aur bimari badhne par operation karne tak ki naubat aa jati hain. Bawasir ke lakshan ke roop mein kabz ki samsya sabse pahle shuru hoti hain. Iske liye kathal ka sewan bahut hi labhdayak hota hain, Kyonki ismein maujood prayapt reshe ki matra in sabhi prakar ki preshaniyo ko door karke pet ko chust-durust rakhti hain. 

9. Haddiya majboot hoti  hain. 

      
Kathal mein calcium ki sabse jyada matra payi jati hain, Jo haddiyo ko healthy aur strong banati hain. Isse Arthritis , Osteoporosis jaisi bimariyo se door raha ja sakta hain. Vaise to Calcium ki purti ke liye dairy products ko best mana jata hain, Lekin kuch phalo aur sabziyo ko kha kar  bhi iski purti ki ja sakti hain. 

10. Khoon ki kami nahi hoti 

Blood mein red cells ki kami hemoglobin aur anemia jaisi samsyaon ko paida karti hain. Iske karan oxygen ki jaroori matra sharir tak nahi pahuch pati aur thakaan, Sujan aur chehre par kalepan jaise kai lakshan nazar aane lagte hain. Kathal Iron se bharpoor hota hain Jise khane se sharir ko jaroori iron milta hain. Iske alawa kai minerals jaise copper aur magnesium ki matra blood ki kami ko door karti hain.