Header Ads

Tulsi ke fayde. (Benefits of Tulsi, Tulasi)

TulsiBharat ke har hisse mein Tulsi ka paudha paya jata hain. Iska paudha sirf dedh ya 2 feet tak badhta hain. Tulsi ko Hindu Dharam mein ati pujniya mana gya hain. Mata tulya tulsi ko aangan mein laga dene matr se anek rog ghar mein pravesh nahi karte hain. Yeh hawa ko bhi shuddh banane ka karya karti hain. Tulasi ka Vansapatik naam Ocimum tenuiflorum hain, Aur ise English mein Holy Basil bhi kahte hain. Aadiwasi bhi Tulsi ke anek nuskho mein apnate hain. Aaj hum aapko tulsi ke herbal nuskhe ke baare mein bata rahe hain. 



1. Kidney ki pathari ko bahar nikaal sakti hain.

Kidney ki pathari ho, To tulsi ki pattiyo ko ubal kar banaya gya kadha shahad ke saath niyamit 6 mahine tak sewan karne se pathari mutr marg se bahar nikal jati hain. 

2. Paani ki shuddhata ke liye 

Aadiwasi ilako mein Paani ki shuddhata ke liye Tulsi ke patte  jal patr mein daal diye jate hain Aur kam se kam 1 se sawa ghanto tak patto ko paani mein rakha jata hain. Kapde se paani ko chhan liya jata hain, Phir yeh peene yogya mana jata hain. 

3. Skin infection se bachav ke liye

Aushadhiya gun se bharpoor Tulsi ke ras mein Thymol tatv paya jata hain, Jisse tavcha ke rogo mein labh hota hain. Herbal experts ke anusaar Skin par agar Tulsi ke patto ko ragad diya jaye, To skin par kisi bhi prakar ke infection mein aaraam milta hain. 

4. Dil ki beemari mein vardaan

Dil ki bimari mein yeh vardan sabit hoti hain. Kyonki yeh khoon mein cholesterol ko control karti hain. Jinhe heart attack hua ho, unhe tulsi ka niyamit roop se  sewan karna chahiye. Tulsi aur haldi ke paani ka sewan karne se cholesterol ka level control mein rahta hain aur ise koi bhi vyakti sewan kar sakta hain. 


5. Jhaaiya kam karne ke liye

Iski pattiyo ka ras nikal kar barabar matra mein Nimbu ka ras milaye aur Raat ko chehre par lagaye, to jhaaiya nahi rahti hain, funsi theek hoti hain aur Chehre ki rangat mein nikhar aata hain. 


6. Flu se bachav

Flu rog mein Tulsi ke patto ka kadha, Sendha namak milakar peene se flu theek ho jata hain. Herbal experts  Flu ke dauraan bukhaar se grast rogi ko tulsi aur sendha namak dene ki salah dete hain. 

7. Thakan mitane ke liye 

Herbal experts Tulsi ko thakaan mitane vali dawa mante hain. Inke anusaar bahut jyada thakaan hone par tulsi ki pattiyo aur Manjari ke sewan se thakaan door hoti hain. 



8. Migraine se  Bachav

Iske niyamit sewan se 'Chronic Migraine' ke nivaran mein madad milti hain. Har roj din mein 4-5 baar tulsi ke 6-7 patte chabane se hi kuch dino mein migraine ki samsya mein aaraam milta hain. 


9. Santaan sukh

Aadiwasiyo dwara Shivlingi ke beejo ko tulsi aur gud ke saath pees kar Ni: santaan mahila ko khilaya jata hain, to mahila ko jald hi santaan sukh ki prapti hoti hain.


10. Ghamauriyo ka ilaj

Garmiyo mein Ghamauriyo ke ilaaj ke liye Aadiwasi Santre ke chhilko ko sukhakar powder bana lete hain, Aur isme thoda tulsi ka paani aur Gulab jal mila kar sharir par lagate hain. Aisa karne se turant aaraam milta hain.