Aankh Aane se bachne ke tarike (Cure from conjunctivitis)
Yu to garmiyo mein 'Madras Eye' jise aam bol chal ki bhasa mein Aankh aana kahte hain, Behad aam baat hain, Lekin jankaro ke anusar is garmi ke mausam mein yeh bimari kuch jyada hi khatrnaak sabit hoti hain. Doctors ke mutabik , Is bimari ke bacteria medicine ke prati jyada prtirodhi ho gye hain aur mauzood dawaon ka in par kam asar ho raha hain.
Conjunctivitis (Aankh aana) ke kuch mamle behad mamuli hote hain aur khud se theek bhi ho jate hain, jabki gambhir mamlo mein ise theek hone mein 3 se 4 hafte tak ka samay lag sakta hain. Is bimari mein aankhon ke ke ujale bhaag par infections ho jata hain aur iska rang lal ho jata hain. Yeh infection ek aadmi se dusre aadmi tak asaani se pahuchta hain.
Halaki ki kai baar dhoop, dhool, dhuaan aur pollution se bhi yeh samsya ho jati hain. Is bimari ke dauran sankrmit insaan ko aankhon mein khujali , dhoondhla dikhne jaisi samsyaen hoti hain. Doctors ke mutabik, Din mein khoob paani peena isse bachne ka ek accha upay hain. Iske alawa Hari sabziyo, taze phalo ka sewan aur acchi neend lena aadi bhi is bimari ko door rakhne mein madad karta hain.
Thandi cheeze jaise Kakdi aadi ko aankho par rakhne se bhi is mausam mein tazgi mahsoos hoti hain.
Aankh aane ki bimari se bachne ke liye upay
- Infective aankh ko chhoone ya ragadne se bache.
- Din mein apni aankhon ko kai baar thande paani se dhoye. Khaskar din bhar ke kaam ke baad ghar par lautne ke baad yeh kaam jaroor kare.
- Kisi dusre ka tauliya, Rumal, Takiya, Bistar aadi ka istemal karne se bache.
- Dupahiya waahan chalate samay hamesha dhoop ke chashme ka istemal kare.
- Hamesha chashma pahan kar tairaaki kare.
- Jo is bimari se pahle se hi grasit hain, Unse door rahe.
Post a Comment