Header Ads

Hari Pyaz khane ke fayde (Benefits of Spring Onions, Green Onions)

Spring OnionSpring Onion, Ek bahut hi lokpriy sabzi hain aur yeh kai kismo jaise - Safed, Peeli aur Lal mein paida hoti hain. Yeh pyaz , swaad mein acche hote hain aur inme poshak tatv bhi bharpoor matra mein hote hain. Kafi lambe samay se, Spring pyaz ka istemal Chinese dawaaiyo mein kiya jata hain. Is pyaz mein Sulfur bhi adhik matra mein hota hain. Sulfur ki jyada matra , sharir ke liye labhdayak hoti hain. Is tarah ke pyaz mein calorie low hoti hain. Spring pyaz ko Hara Pyaz kaha jata hain.


Hara pyaz Vitamin C, Vitamin B2 aur Thiamine se bharpoor hota hain. Isme Vitamin A aur Vitamin K bhi hota hain. Iske alawa yeh Copper, Phosphorus, Magnesium, Potassium, Chromium, Manganese aur Fiber ka accha source hain. Hara Pyaz Flavonoids jaise - Quercetin ka bhi majboot source hain. 


Hare pyaz ko khane ke fayde :- 

1) Dil ke liye accha hain :- Hara Pyaz, dil ko swasth rakhta hain. Yeh Cholesterol ke oxykaran ko kam karta hain aur coronary heart disease ko kam karta hain. 


2) Blood pressure maintain rakhta hain :- Is pyaz mein Sulfur ki matra, Sharir mein BP ko sahi banaye rakhti hain. 


3) Cholesterol Level :- Hara Pyaz, Cholesterol ke level ko sahi banaye rakhta hain. 


4) Diabetes :- Hare pyaz mein Chromium hota hain jo sharir mein diabetes hone par faydemand hain. Iski madad se blood sugar level control mein hota hain aur Glucose tolerance mein  bhi sudhar hota hain. Allyl propyl disulfide bhi blood sugar ke level ko kam karne mein madadgar hoti hain. 


5) Sardi aur Flu :- Hara pyaz, Body mein sardi aur flu se ladne ke Anti-Bacterial gun paida karta hain. 

6) Pachan mein sudhar :- Anti-Bacterial gun se pachan mein sudhar hota hain. 

7) Pet ka cancer :- Hare pyaz mein Pectin hoti hain jo ek tarah ka liquid Colloidal Carbohydrates hota hain, Jisse pet ke cancer ka khatra kam ho jata hain. 


8) Immunity badhaye :- Hara pyaz khane se body ki immunity badhti hain. 

9) Gathiya aur Asthma : -  Hare pyaz mein Anti-Inflammatory aur Anti-Histamine wale gun hote hain jisse Gathiya aur Asthma mein aaram milta hain. 

10) Metabolism :- Hara pyaz, Metabolism ko control karta hain aur Macronutrients ko banaye rakhta hain. 


11) Aankhon ke liye faydemand :- Hara pyaz khane se aankhon ki roshini mein bhi labh milta hain. 

12) Jhurriya door bhagaye :- Hara Pyaz, Chehre aur sharir mein padne wali jhurriyo ko door bhagata hain.