Header Ads

Beer peene ke fayde (Health benefits of drinking of beer)

BeerBeer peene ke fayde agar aapne search kiya hain Bear peene ke fayde to jaroor padhe, mujhe pata hain ki maine bear ka spelling galat likha hain, Iska sahi spelling Beer hona chahiye, Lekin Search engine ke karan maine bear peene ke fayde likha hain. Chaliye jante hain Beer pine ke fayde aur labh ke baare mein :-


Agar aap jyada matra mein Beer ka sewan nahi karte hain ya phir Beer peene ki roj latt nahi lagi hain jo aaj hum aapko batayenge ki Beer health ke liye kaise faydemand hain. Padhne se pahle yeh jaan le ki ise batakar Beer peene ke liye uksaya nahi ja raha hain, Khas taur par jab aapne usay kabhi na piya ho. Jo log kam matra mein Beer peete hain, Wah log is artical ko jaroor padhe, Beer na peene wale kripya is post se door rahe. Kyonki yeh post aapke liye ek  kism ka nashe ko badhawa dene wala artical ho sakta hain.  Ise apni marzi aur hos-hawaas, apni jimmevari par padhe. 

Bear ke bottle mein agar thodi si beer bach jaye to usay aap baalo ke liye conditioner ke taur par istemal kar sakte hain. Ji haa yakin maniye Isko lagane se aapke baalo mein chamak aur majbooti to aayegi aur saath mein aapke baal ghane ho jayenge.


Kya aapko pata hain ki aise kai research hain jo proof karte hain ki Beer ki thodi matra mein peene se sehat ke kai fayde ho sakte hain. America mein huye ek research ke anusar 40% Beer peene wale logo mein Kidney Stone hone ka khatra oon logo ke mukable kafi kam ho gya jo Beer nahi peete thay. Halaki researchers yeh nirdharit nahi kar sake ki Beer mein aisi kaun si cheez shamil thi jiski wajah se yeh ho saka. Beer ke normal matra mein sewan karne walo ko dil ki bimari ka khatra kam hota hain. 


Research ke mutabik agar roj 2 glass beer ka sewan kiya jaye to yeh sharir ke good cholesterol yani ki HDL level ko badhata hain. Isse heart disease ka khatra kam ho jata hain.

Aaiye jante hain Beer sehat ke liye kaise accha hain 

Beer peene se umar badhti hain :- Thodi matra mein Beer peena sehat ke liye faydemand hain. Yeh har koi janta hain ki agar aap Sharab jyada matra mein peete hain to yeh aapke liye nuksaandayak hain. Lekin ek research mein yeh paya gya hain ki agar aap kabhi bhi drink nahi karte hain to vah bhi accha nahi hota hain.


Beer puri tarah se natural hain :- Sacchai yeh hain ki Beer bhi vaise natural hain jaise Milk ya Juice hota hain. Beer mein kisi bhi tarah ka preservative nahi hota hain, Kyonki isme alcohol aur hopes dono hote hain, jo ki dono hi natural hote hain. Beer, Bread ke tarike se banti hain, Ise pakaya jata hain, alag kiya jata hain aur phir filter karke pack kar diya jata hain.


Beer mein ek ghulansheel fiber paya jata hain :- Beer mein Soluble Fiber bhi hota hain, jo aapki dainik dincharya ko fit rakhta hain aur sharir mein aayi kamiyo ko observe karta hain, Taki aapki body sahi tarike se move kar sake. Jaise Fat ko kam karna. Agar aap dohre hote pet se preshan hain aur uske liye kadi mehnat karne wale hain, to jaan le ki Beer se Magnesium aur potassium ko bhi control kiya ja sakta hain jo ki pet ke motape ke liye sabse bade karan hote hain.


cholesterol ko theek karta hain :- Darasal niyamit roop se beer peene se aapka cholesterol level sahi rahta hain aur HDL / LDL bhi sahi rahta hain. Beer ki takat se HDL ka level badha sakte hain. Kuch researches ke anusar, ek din mein ek baar beer peene se aapka HDL 4% tak badh sakta hain.


Beer aapko chill rakhti hain :- Sahi dhang se beer peene se aapki health bhi acchi rahti hain aur aap chill bhi rahte hain. Dusre sabdo mein kahe to apne dosto ke saath ek aadha peg peene se jo environment banta hain usse aapko khushi milti hain.


Vitamin B ka source :- Beer, khas kar acchi aur mehangi beer mein Vitamin B ka ansh hota hain. Beer mein Alcohol ke tatv kam hote hain. Isme Vitamin B bhari matra mein hota hain aur Folic  Acid bhi hota hain, Jo ki heart attack ke khatre se bachata hain.


Beer paani se jyada safe hain :- Beer ek process ke tahat khaula kar banai jati hain, aur phir ise clean kiya jata hain, Bakayda packing karke seal kiya jata hain. Aapko yeh batane ka matlab yeh nahi hain ki Paani kharab hain , Iska matlab yeh hain ki Beer safe hain aur isme kharab tatv nahi hote hain. Yaha tak ki Beer mein zindagi ko khatra pahuchane wale bacteria tak paida nahi ho sakte hain, Kyonki Beer mein in bacteria ka jinda rahna mumkin nahi hain. Isliye Khule paani se jyada safe beer hain.


Beer heart attack se bachav karti hain :- Agar aap Vitamin ka sewan karne mein late-latifi karte hain to Beer aapke liye ek accha option hain. Thodi matra mein beer peene se heart attack se 24.7% tak bacha ja sakta hain.


Beer cancer se ladta hain :- Beer aur sehat ke beech sabse accha health connection hota hain. xanthohumol jo hops mein hi paya jata hain. Isme ek shaktishali Anti-Oxidant hota hain jo cancer se ladne mein madad karta hain. Yeh tatv aapke sharir ke liye labhkari hota hain. Isi liye German log is tatv ko jyada matra mein prapt karne ke liye jyada beer peete hain.

Beer se Bear belly nahi hota hain :- University London of College mein 2013 mein yeh research kiya gya hi overhang hone ka aur drink ka aapas mein koi connection nahi hain. Unhone paya ki agar beer peene se aapka motapa aata hain to yeh aapki kamjori hain. Beer kewal sharir ke metabolism ko badhata hain, Wajan ko badhata hain aur aapke sharir ko swasth rakhta hain. Ise thodi matra mein piye aur sehat ko accha banaye.