Header Ads

Hasne - Muskurane ke fayde (Benefits of Laugh & Smile)

LaughingHasna-Muskurana na kewal aapke swabhav ko batata hain, Balki yeh aapki positive personality ko bhi dikhata hain. Doctors ka bhi yeh manna hain ki Hasne se chehre aur sharir ki jyada se jyad muscles active rahti hain, Jo healthy rahne ke liye madadgar hoti hain. Busy Lifestyle aur Stress ke chalte logo ko itna waqt nahi mil pata hain ki wo kisi aur se baat kar sake, Dosto se mil sake aur purani baatein yaad karke khul kar hans sake. Inhi sabhi wajaho se log Laughing therapy ka istemal kar rahe hain. Healthy bane rahne ke liye log parko mein ikkatha hokar laughing therapy ka istemal kar rahe hain, is baat se anjan ki ghar ke bado, baccho aur dosto se mil kar , unse baatcheet karke bhi Happy aur healthy raha ja sakta hain. 



Hasne ke fayde :- 

1. Tension door karta hain :- Hasne se body mein Endorphins chemical banta hain jo tension aur chinta jaisi problems ko door karta hain. Yeh vahi chemical hain jo running aur exercise karte samay nikalta hain. Hasne se chehre ki acchi tarah se exercise ho jati hain. Isse dimaag active bana rahta hain.


2. Immune System sahi rahta hain :- Hasne se immune system sahi rahta hain, kyonki isse jyada matra mein white cells bante hain jo kai tarah ki bimariyo se ladne mein sahayak hote hain. Research mein bhi yeh baat samne aayi hain ki khul kar hasne walo se bimariya koso door rahti hain.

3. Fefde, Muscles ke liye healthy :- Hasne se body mein Oxygen bharpoor matra mein pahuchati hain. Isse fefde se lekar muscles aur cell badhiya kaam karte hain.


4. Positive attitude :- Job ke liye interview ho ya shaadi ke liye mooh dikhai. Hasna aur muskurana bahut hi jaroori hota hain, Kyonki yeh aapke positive attitude aur confidence ko zahir karta hain. Saath hi hasne se aapsi rishto mein bhi mithaas bani rahti hain.


5. Khoon ki kami nahi hoti :- Kam log hi jante hain ki hasne se white blood cells aur oxygen ki jyada se jyada matra body mein pahuchati hain. Isse hemoglobin badhta hain aur khoon ki kami door hoti hain.


6. Bhavnaao ko jatane ka jariya :- Khul kar hasne se kai chhipi bhavnaye vyakt ki ja sakti hain. Haste huye kaam karne se mushkil se mushkil task ko pura kiya ja sakta hain. Jindagi ko alag tarike se aur khush rah kar jeene ka zazba aata hain.


7. Dusro ki health :- Yeh wakai kuch alag aur hatkar hain. Hans kar khud to health banai ja sakti hain , Lekin kya aapko maloom hain ki isse dusre ko bhi healthy rakha ja sakta hain. Kisi bhi ek ko haste huye dekh kar dusra vyakti muskurane ya hasne lagta hain. Isse uski muscles , brain aur fefde ki exercise ho jati hain. Isliye Laughing therapy ko best therapy mana gya hain.


Hasne ke kuch asaan upay

Laughing therapy :- Agar aapki life bahut busy hain aur exercise tak ke liye waqt nahi hain to khud ko ghar se park mein jakar bina kisi baat ke khul kar hasne ki koshish kare. Yeh kafi faydemand hota hain.


Comedy show, Films, Dram dekhe ;- Sabse best tarika hota hain. Hafte mein ek din ka time nikale aur koi comedy movie dekhe. Agar possible na ho to rojana T.V. par aane wale comedy show to jaroor dekhe. Yeh aapko khul kar hasne mein madad karega.

Kitabe aur chutkule padhna :- Kisi bhi funny kitaab ko padhna aur baccho ki comics padhna bhi is exercise ke liye bahut hi help karta hain. Cartoon wale serials dekhe aur fun kare.

Parivaar aur dosto se mile :- Purani aur acchi baaton ko yaad karne ke saath hi life ki tension door karne ke liye ek din parivaar ke liye jaroor nikale. Baaton ke dauran kai baatein aisi hoti hain jo aapko khul kar hasne ka mauka deti hain. To avsar ka labh uthaye kyonki aise avsar simit avadhi ke liye hote hain.