Bhains ka doodh ya phir Gaay ka doodh kaun hain sabse behtar ?(Buffalo Milk Vs Cow Milk which is better?)
Kaun sa doodh hain sabse behtar Bhains ka ya Gaay ka
Vaise to bahut sare aise janwar hain, Jinka doodh log apni jaroorato ko pura karne ke liye istemal karte hain. Lekin Sabse popular Animal Cow ya Buffalo hi mani jati hain. Gaay ka doodh richness aur sanghatan ke
mamle mein Bhains ke doodh se alag hota hain. Bhains ke doodh mein Cholesterol kam hota hain, Lekin Calorie aur Fat jyada hota hain. Bhains ka doodh South Asia mein istemal kiya jata hain. Bharat, Chin aur Pakistan iske sabse bade utpadak desh mane jate hain. Aapke liye Bhains ka doodh jyada behtar hain ya Gaay ka, Is baat par nirbhar karta hain ki aapke sharir ki jaroorate kya hain. Aaiye jante hain ki Bhains aur Gaay ke doodh ki apni kya-kya visheshtaye hain.
Bhains ka Doodh Banam Gaay ka Doodh
Fat :-
Gaay aur Bhains ke doodh mein sabse pahla aur bada difference unme mauzood fat hota hain. Bhains ka doodh Gaay ke doodh se 100% jyada adhik Fat hota hain. Isliye, Gaay ka doodh halka mana jata hain aur Bhains ka bhari. Jin khadya pdartho mein jyada Fat hota hain unhe pachana mushkil hota hain. Isliye navjaat Chhotte bachcho aur Buzurgo ko Bhains ke doodh ki jagah Gaay ka doodh peene ki salah di jati hain.
Protein : -
Bhains ke doodh mein Gaay ke doodh se lagbhag 11% jyada protein hota hain. Bhains ke doodh ka protein jyada taap ka prtirodhi hota hain. Fat ki tarah hi Bhains ke doodh ke protein ko navjaat aur buzurg pachane mein dikkat mahsoos karte hain. Isliye is mamle mein bhi unhe Gaay ka doodh peena chahiye. Haa jise protein ki jyada jaroorat hain, Vo Bhains ka doodh pee sakta hain.
Cholesterol :-
Bhains ke doodh mein Gaay ke doodh ke mukable kam Cholesterol hota hain. Isliye Diabetes, Hypertension, Kidney se related bimariyo, Motape aadi se peedit logo ko Bhains ka doodh peene ki salah di jati hain.
Calorie:-
Jahir hain, Jab Bhains ke doodh mein Fat aur protein jyada hoti hain, to usme Calorie bhi jyada hogi. 100 ml Gaay ke doodh mein 70 Calorie hoti hain, Jabki 100 ml Bhains ke doodh mein 100 calorie hoti hain. Isliye Vo log jinhe kam se kam calorie ki salah di gyi ho, unhe Gaay ka doodh peena chahiye.
Minerals :-
Mahatvpurn Minerals ke mamle mein Bhains ka doodh Gaay ke doodh ko peeche chhod deta hain. Bhains ke doodh mein Gaay ke doodh se 91% jyada Calcium, 37.7% jyada Iron aur 118% jyada phosphorus hota hain. Bhains ke doodh mein magnesium aur potassium bhi Gaay ke doodh se adhik paya jata hain.
Fayde :-
Bhains ka Doodh majboot haddiyo, Swasth Daanto, Dil ki bimariyo aur Wajan badhane ke liye accha mana jata hain. Vahi Gaay ka doodh bhi Haddiyo aur daanto ke swasth ke liye accha hota hain. Yeh bachcho mein wajan ghatane, Thyroids ki samsya se nipatne aur Heart ke liye accha hota hain.
Upyog :-
Bhains ke doodh se gaadhe aur Creamy utpaad bante hain, Jaise Dahi aur cottage cheese ( Jise south Asia mein Paneer kaha jata hain). Iske saath hi Bhains ka doodh Khoya aur Ghee banane mein bhi kafi accha mana jata hain. Iske alawa lambe waqt tak store karke rakha ja sakta hain. Gaay ke doodh se bhi dairy products bante hain, Jaise Dahi, Sweets, Cheese, Lekin yeh kam creamy hote hain. Gaay ka doodh kam waqt ke liye Store kiya ja sakta hain.
Post a Comment