Header Ads

Hari Mirch Khane ke fayde (Benefits of Green Chillies)

Green ChilliesBhojan ke saath agar Hari Mirch na rakhi ho to kanhi na kanhi kami si lagti hain. Bharat hi ek aisa desh hain jaha par hari mirch ka prayog bhojan mein kafi kiya jata hain. Bhartiya Hari Mirch mein ek aushadhi ke saman hain, Jisme sharir ke kai rogo ko khatm karne ki takat hain. Hari Mirch mein kai swasth vardhak gun samaye hote hain, Isliye niyamit taur par ise apne khane mein rakhni chahiye.


 Garmi ke dino mein yadi ham khane ke saath Hari Mirch khaye aur phir ghar se bahar jaye to Kabhi bhi Loo nahi lag sakti hain. Khoon mein Hemoglobin ki kami hone par rojana khane ke saath Hari Mirch khaye, kuch hi dino mein aaram mil jayega.


Ek teekha khana sehat se bhara hua ho sakta hain, Lekin tab jab aap iske saath Hari Mirch ka sewan kare. Yeh Hari Mirch tab Lal Sukhi Mirch ban jati hain, Jab ise kadi dhoop mein sukha diya jata hain. Par sukhi Lal mirch mein utni takat aur paushtik gun nahi hote hain, Jitna ki Hari Mirch mein hote hain. Aaiye Jante hain ki Hari Mirch ko bhojan ke saath khane se aapko kya labh ho sakte hain.


1. Cancer se bachaye :- Hari Mirch mein Anti-Oxidants hote hain jo sharir ki immunity ko badhata hain aur Cancer se bhi ladne mein madad karta hain.


2. Pratiraksha mein sudhar ;- Isme bahut saara Vitamin C hota hain, jo ki prakritik prtiraksha mein sudhar karti hain. Yeh aapko bimariyo se bachati hain.

3. Skin ke liye accha :- Hari Mirch mein bahut sara Vitamin E hota hain, Jo ki skin ke liye faydemand Natural Oil ka production karta hain. Agar aap teekha khana khate hain to aapki tavcha apne aap acchi ho jayegi.


4. Zero Calorie :- Aapko Mirch se jo kuch acchi cheeze milti hain vah bina calorie ke hoti hain. Hari Mirch mein bilkul bhi Calorie nahi hoti hain.


5. Purusho ko jaroor khana chahiye :- Purusho ko Hari Mirch Prostate ke cancer se bachati hain.


6. Blood sugar level ko kam kare :- Mirch khane se aapke sharir ka blood sugar level balance ho jayega. Par iska matlab yeh nahi hain ki aap pure din mithai khaye aur uske baad mirch khana shuru kar de.

7. Khana Jald pachaye :- Mirch mein kafi matra mein Fiber hota hain, Jisse aapko kabhi bhi kabz nahi hogi. Mirch khane se khana asaani ke saath pach jata hain.


8. Teekha khane se mood banta hain behtar :- Mirch khane se Dimaag mein Endorphins paida hoti hain, Jo ki aapke mood ko halka bana kar aapko khushi pradan karta hain. 


9. Fefde ke cancer se bachaye :- Hame pata nahi hain ki Hari Mirch khane se fefde ke cancer se bachav hota hain, Yeh baat research mein boli gyi hain. Agar aap smoking karte hain to aapko Hari Mirch jaroor khani chahiye. 

10. Bacterial Infection se bachav :- Hari mirch mein Anti-Bacterial gun paye jate hain, Jo ki Infection ko door karte hain. Hari Mirch khane se aapko Skin ka rog nahi hoga. 

11. Iron badhaye :- Mahilaon mein akasar Iron ki kami ho jati hain, Lekin agar aap Hari Mirch roj khayengi to yeh kami bhi puri ho jayegi.