Intex ne launch kiya Intex Aqua 4G plus sirf Rs.9499 mein.
Intex technologies ne apni 4G Device ke launch ki ghoshna kar di hain. Company ki aor se Is device ka naam diya gya hain Aqua 4G + , Jaisa ki naam se clear hain device 4G ko support karega.
Gaur kare specifications :-
Phone ki sabse badi khoobi yeh hain ki phone kai multiple Languages ko support karega. Iske anya specification ki baat kare to phone mein 1.3 GHz MediaTek Quad-core Processor diya gya hain. Iske alawa is smartphone mein 2GB ki RAM di gyi hain. Phone ko HD Screen ke saath banaya gya hain. Iske saath hi ispar Dragontrail Glass aapke phone ki screen ko scratches se bachayega.
Connectivity aur memory par ek nazar
In sabke alawa ek aur khoobi is smartphone ko dusre smartphones se alag banati hain, Vah hain iska slow motion video support. Iska matlab hain ki aap is smartphone se aap slow motion mein bhi video bana sakenge. Is Dual Sim smartphone mein connectivity ke liye diya gya hain, Bluetooth, Wi-Fi ki suvidha. Memory ki baat kare to Is Aqua 4G Plus mein 16GB ki internal memory di gyi hain, Ise aap 32 GB tak Expand kar sakte hain.
Kaun sa rang pasand hain aapko
Phone chalati hain 2300 mAh ki battery. Phone ke camera ki baat kare to phone ka camera aapko dega Live Filters aur behartin front & back camera shots. Agar handset ke colours variants ki baat kare to isme aapko White aur Black 2 colour milenge.
Full Specifications of Intex Aqua 4G +
Model | Intex Aqua 4G+ | |
Sim | Dual SIM | |
Display | 5.00-inch 720x1280 pixels | |
Memory | 2 GB RAM with 16 GB internal storage, expandable upto 32 GB | |
Connectivity | Wi-Fi, GPS, Bluetooth, USB | |
Camera | 13MP rear Camera, 5 MP Front Camera | |
OS | Android 5.0 | |
CPU | 1.3 GHz MediaTek quad core processor | |
GPU | - | |
Battery |
|
|
Price | 9,499Rs. |
Post a Comment