Header Ads

Maggi hi nahi , Balki food Preservatives bhi hain ghatak.

Food PreservativesMaggi noodles mein hanikarak LED aur Mono Sodium Glutamate milane se Ban kar diya gya hain. Lekin ready to eat aur packaged food ke alawa kai anya utpado mein preservatives, Sweeteners aur color milaye jate hain. Aise sabhi products na kewal hamare sharir ke liye dheeme zehar ka kaam karte hain balki ghatak bimariyo ki vajah bante hain. Inse bachne ke liye ek matr upay desi aur natural khan-pan ko diet mein shamil karna hain. 



Potassium Bromate 

Iske sewan se cancer ka khatra rahta hain. Ise bread aur bakery ke products mein milaya jata hain. Potassium Bromate aate ko lacheela banata hain. Isse bani cheezo ko yadi high temperature par nahi pakaya gya to yeh unme hi rah jata hain. 


Sodium Benzoate

Sauce, Fruits , Jam aur Achaar aadi mein is preservative ka upyog kiya jata hain jiska adhik istemal cancer ki aashanka ko badhata hain. 


Trans Fat 

Vegetable Oil mein Hydrogen milane se usme trans fat ki adhikta badh jati hain. Isse product ko lambe samay tak surakshit to rakha ja sakta hain, Lekin khane wale ke sharir mein Bad cholesterol ka level badh jata hain. Jo aage chalkar heart disease ya heart attack ka karan ban sakta hain. 

 
Refined Grains 

Refined Grains jaise white bread, White rice aur White Pasta dil ki bimariyo ke khatre ko badhate hain. Inme starch ki adhik matra hoti hain, Jinse motapa badhta hain. Inme ki jane wali coloring bhi khatranaak hoti hain. Iski bajaye sabut anaaj jaise Jau, Jawaar aur Makka aadi ka prayog kare.


Propyl gallate

Meat products , Vegetable Oil, Potato sticks,  Chewing gum aur ready to eat soup mein iska istemal hota hain. Yeh product ki self life badhate hain, Lekin inke adhik istemal se pet ke cancer hone ka khatra badhta hain. Iske liye ghar par hi sabziyo se soup aur Aaloo ke chips aadi banaye ja sakte hain.


Fructose Corn Syrup 

Banavati Sweetener wala High Fructose Corn Syrup natural Sweetener se sasta hain. Ise wheat bread, Ham burger bun,   muffins, Beer, Soft-drinks aur Catch up mein milaya jata hain. Inse dil ki bimari, Diabetes ka khatra badh jata hain. Iske karan over-dieting hoti hain, Jisse motapa badh jata hain. Inki bajaye ghar par hi Idli, Dhokla, upma aadi bana kar khaye.

Sodium Nitrate

Ham Burger, Hot Dogs aur Sauces mein is preservative ka prayog kiya jata hain. Isse Asthma ka khatra badhta hain aur Fefde ke rog hone ki ashanka bhi hone lagti hain.



Aspartame

Low Calorie diet food aur Sugar ke vikalp ke roop mein is Artificial Sweetener ka upyog hota hain. Iske jyada istemal se Migraine, Netra dosh aur sirdard hone lagta hain. 

Salt yani Namak 

Jin khadya padartho mein Namak ki matra jyada hoti hain ve swasth ke liye theek nahi hain. Jaise packed Vegetable, Fast Food, Chips , Namkeen aur soup aadi. Inke adhik prayog se blood pressure badhta hain aur Heart disease aur stroke ka khatra rahta hain. Din bhar mein Namak ki 6 Gram se jyada matra na le.