Micromax ne launch kiya Micromax Canvas Hue 2 sirf Rs.11736 mein.

Offline bhi hain available
Mumbai ke retailer Mahesh Telecom ki aor se bhi Micromax ke is smartphone ki keemat ko khol diya gya hain. Yahi nahi ab to yeh phone offline stores par bhi uplabadh hain. Is retailer ki mane to Hue smartphone ki keemat MOP par 12,499 rupaye ki aur MRP par 17,999 rupaye batai ja rahi hain.
Specification par gaur kare
Ab is smartphone ke specifications ki baat kare to yeh Hue 2 (Model No. A316) smartphone Dual Sim hain, Jo ki Android 4.4.2 Kitkat Os Out of the box par kaam karta hain. Phone par 720 x 1280 pixels resolution ke saath 5 inch ka HD AMOLED display diya gya hain. Phone ko power deta hain 1.7 GHz Quad-Core MediaTek (MT6582) processor. Iske saath hi aapko isme 2 GB ki RAM milegi. Vahi aapko bata de ki retailers is phone par 1.7 GHz Octa-Core processor ke support karne ki baat bata rahe hain.
Storage aur Camera par ek nazar
In sabke alawa phone par aapko milegi 16GB ki internal memory. Jise aap 32 GB tak Micro SD card ke jariye expand bhi kar sakte hain. Agar baat kare Camera ki to is par aapko milega 13 Megapixel ka rear camera, LED flash ke saath. Iske alawa Selfie Click karne ke liye is par aapko milega 5 Megapixel ka front facing camera. Connectivity ke liye isme diya gya hain 3G, Wi-Fi 802.11 b/ g / n , Micro USB aur Bluetooth ki suvidha. Phone ko jinda rakhne ke liye iske saath di ja rahi hain 2000 mAh ki battery.
Full Specification :-
Full Specification :-
Model | Micromax Canvas Hue 2 | |
Sim | Dual SIM | |
Display | 5-inch HD AMOLED display with 720 x 1280 pixels of resolution | |
Memory | 2 GB RAM with 16GB onboard storage, expandable upto 32 GB | |
Connectivity | 3G, Wi-Fi 802.11 b/g/n, microUSB and Bluetooth | |
Camera | 13MP rear Camera, 5 MP Front Camera | |
OS | Android 4.4.2 KitKat out-of-the-box | |
CPU | 1.7GHz quad-core MediaTek (MT6582) processor | |
GPU | - | |
Battery |
|
|
Price | Rs 11,736. |
Post a Comment