Mashroom khane ke fayde ( Benefits of Mushroom)
Chahe aap Vegetarians ho ya phir Non-Vegetarians , Mushroom ki sabzi har kisi ko khana bahut hi pasand hain. Doctors ka yeh kahna hain ki Mashroom ka sewan health ke liye bahut hi faydemand hain. Iske sewan se jaha High-blood pressure control hota hain to vahi yeh motape ko bhi kam karta hain. To aaiye jante hain Mushroom khane ke fayde ke baare mein :-
1. Immune system ko majboot banaye :- Mushroom mein mauzood Anti-oxidants hame bhayankar Free-Radicals se bachata hain. Isko khane se sharir mein Anti-Viral aur anya protein ki matra badhti hain, Jo ki koshikaon ko repair karta hain. Yeh ek natural Anti-Biotic hain jo Microbial aur anya fungal infection ko theek karta hain.
2. Cancer :- Yeh prostate cancer aur breast cancer se bachata hain. Isme Beta-Glucan aur conjugated linoleic acid hota hain jo ek anticariogenic prabhaav chhodte hain. Yeh cancer ke khatre ko kam karte hain.
3. Dil ki bimari :- Mushroom mein High- Nutrients paye jate hain jo Heart ke liye acche hote hain. Isme kuch tarah ke Enzyme aur Fibers paye jate hain jo Cholesterol ko kam karte hain.
4. Madhumeh :- Mushroom vah sab kuch dega jo madhumeh rogi ko chahiye. Isme Vitamin, Minerals aur Fibers hote hain. Saath hi isme Fat, Carbohydrate aur Sugar bhi nahi hoti hain, Jo Diabetes ke mareez ke liye janlewa hain. Yeh sharir mein insulin ko banati hain.
5. Motapa kam kare :- Isme Lean Protein hota hain jo wajan kam karne ke liye bahut hi kargar hota hain. Motapa kam karne walo ko Protein diet par rahne ke liye bola jata hain, Jisme Mushroom khana accha mana jata hain.
6. Metabolism :- Mushroom mein Vitamin B hota hain jo ki bhojan ko glucose mein badal kar energy paida karta hain. Vitamin B2 aur B3 is kaam ko karne ke liye jaroori hote hain. Jo ki Mashroom mein acchi matra mein paye jate hain.
Post a Comment