Samsung ne 9,999 Rupees ke price par launch kiya Galaxy Core Prime 4G budget smartphone.
Samsung ne apna budget 4G smartphone launch kar diya hain. Samsung ke is naye 4G smartphone ka naam Galaxy Core Prime hain. Company ki aor se phone ko Bhartiya Bazaar mein launch kiya gya hain. Indian Market mein is phone ki keemat 9,999 rupaye batai gyi hain. Vahi company ki aor se is baat ki bhi ummeed jatai gyi hain ki 4G network par is budget smartphone ko kafi pasand kiya jayega.
Aise hain Specification :-
Phone ke specifications ki baat kare to is Galaxy Core Prime 4G smartphone par screen ke naam par aapko milega 4.5 inch aur 480 x 800 pixel wala TFT display. Phone ko power de raha hain 1.2 GHz ka Quad-core Processor. Agar aap photo click karne ke shaukin hain to is phone mein diya gya hain 5 Megapixel ka rear camera. Saath hi selfie ke liye is phone par milega aapko 2 Megapixel ka front camera.
Phone ki memory par ek nazar
Operating System ki charcha kare to Is Galaxy Core Prime 4G Smartphone par mil raha hain Android ka 4.4 Kitkat Os. Dual Sim wala yeh smartphone TDD aur FDD 4G dono bands ko support karta hain. Iske saath iski download speed power 150 MBPS hain. Ab baat kare RAM ki to phone mein 1 GB RAM hain aur internal storage 8GB hain. Iske saath hi aap isme 64GB ka micro sd card laga sakte hain.
Full Specifications :-
Full Specifications :-
Model | Samsung Galaxy Core Prime 4G | |
Sim | Dual SIM | |
Display | 4.5 Inch WVGA PLS Touch Screen Disply | |
Memory | 1GB RAM with 8 GB internal storage | |
Connectivity | Wi-Fi, Bluetooth, NFC,4G LTE | |
Camera | 5MP rear Camera With LED Flash, 2 MP Front Camera | |
OS | Android 4.4 (KitKat) | |
CPU | 1.2 GHz Quad Core Processor | |
GPU | - | |
Battery |
|
|
Price | 9,999 Rs. |
Post a Comment