Panasonic ne lauch kiya Eluga S ka mini version Keemat 8,990 Rupaye.
Japan ki handset maker company Panasonic ne Tuesday ko apne stylish handset Eluga S ka mini version launch kar diya hain. Jiski keemat 8,990 Rupees rakhi gyi hain. Gaurtalab hain ki pichle saal November mein company ne iska Original version market mein utara tha.
4.7 inch ki hain display
Panasonic company ne apne is naye smartphone Eluga S Mini mein Android ka operating system diya hain. Isme aapko Android 4.4.2 KitKat OS milega. Vahi is handset mein aapko 4.7 inch ki display milegi. Iske alawa Isme aapko 1.4 GHz ka Octa-Core processor milega. Saath mein 1 GB ki RAM milegi. Vahi agar iske storage capacity ki baat kare to isme aapko 8GB ki internal memory milegi. Jabki 32 GB tak Micro SD card ki suvidha milegi.
8 Megapixel ka hain rear camera
Company ne apne is naye handset Eluga S Mini ko kafi stylish banaya hain. Iska behtarin look users ko attract kar sakta hain. Vahi isme 8 MP ka rear camera milega, Jisme LED flash hoga, Jabki front camera 5 Megapixel ka hoga. Agar connectivity ki baat ki jaye to Eluga S Mini mein aapko 3G, Bluetooth, Wi-Fi aur GPS ki suvidha milegi. Iske alawa Battery Back up mein yeh Theek hain. Isme aapko 1980 mAh ki battery milegi. Colour Variants ki baat kare to isme aapko sirf Frost White aur Shadow Grey colour hi milega.
Specification:-
Model
|
Eluga S Mini
|
Sim
|
Dual SIM
|
Display
|
4.7-inch (720
x 1280 pixels) qHD IPS display
|
Memory
|
RAM 1GB, ROM
8GB, External Card upto 32GB
|
Connectivity
|
GPRS, EDGE,
3G, Wifi, Bluetooth, USB
|
Camera
|
Front- 5,
Rear – 8MP with Flash
|
OS
|
Android 4.4.2
Kitkat
|
CPU
|
1.4 GHz
octa-core MediaTek MT6582M processor
|
GPU
|
Adreno 405
|
Battery
|
1980 mAh
|
Price
|
Rs. 8,990
|
Post a Comment