Header Ads

Ulti rokne ke liye gharelu upay aur nuskhe (Home Remedies for Nausea and Vomiting)

VomitingUlti ya Vomiting hone ke kai karan ho sakte hain jaise Jaroorat se jyada khana, Sharab peena, Pregnancy, Pet ki gadbadi, bimari, Acidity, yatra ya migraine aadi. Garmi ke mausam mein ulti hona ek aam baat hoti hain, kyonki sharir puri tarah se khaye gye bhojan ko pacha nahi pata hain ya phir Food poisoning bhi ek karan ho sakta hain.



Yadi insaan ko jyada ultiya hone lage to uske sharir mein paani ki kami ho jati hain. Isliye ya to usay aaraam karna chahiye ya phir usay doctor se glucose ki drip chadwani chahiye, Jisse uske sharir mein dubara jaan aa sake. 


Vaise accha hain ki hamare paas kudrat ke dwara di gyi natural cheeze hain, jisse ham apna ilaj khud bhi kar sakte hain. Aaj ham aapko ulti rokne ke kuch asaan aur gharelu upchar batayenge, Jisse aapko labh hoga. 


1. Adrak :- Agar aapke yatra ke dauran ulti mahsoos hoti hain to aap adrak ki Chaaye pee kar chal sakte hain. Iske alawa jaise hi ulti mahsoos ho to thoda sa adrak ka tukda chaba le. 

2. Pudine ki patti :- Pudine ki chaaye banayiye ya phir kewal pudine ki pattiyo ke sewan se ulti rook jati hain. 

3. Sirka ;- Sirka aur Kala Namak mila kar chatne se ultiya rook jati hain. 

4. Dalchini :- Aap chahe to Dalchini daal kar chaaye bana kar pee sakte hain. Iske liye Dalchini ka thoda sa tukda paani mein ubaaliye aur usme thoda sa Shahad milayiye. 

5. Chawal ka paani :- Pet mein hyper Acidity banane se ulti hone lagti hain. Chawal ko ubaaliye aur uske paani ko nikal kar thanda kijiye. Phir oos paani ka sewan kare. 


6. Pyaz ka ras :- Ek pyaz ko gheeskar uska ras nikal le. Is ras mein thodi si Kali Mirch dale aur is mishran ko ek-ek chammach har 2 ghanto ke baad le. 

7. Barf :- Baar-baar ulti hona rokne ke liye barf choosna faydemand hota hain. 

8. Nimbu :- Nimbu ka tukda Kale namak ke saath apne mooh mein rakhne se aapko ulti ka ahsaas nahi hoga. 

9. Shahad :- Ek glass Paani mein Shahad mila kar peene se ultiya band ho jati hain. 


10. Lahsun :- Agar yatra ke dauran aapko ulti aati hain to Lahsun ki 2 kaliya chabane se araam milta hain. 


11. Elaichi :- Ulti jaise hi mahsoos ho, Usi samay 2 Elaichi nikaal kar khane se araam milega. Isse pet ki Acidity bhi shant ho jayegi aur khana hazam hone mein bhi asaani hogi.