Curry Patta ke fayde (Benefits of Curry Leaves)
Meethe Neem ya Curry Patte ka istemal Bhartiya Rasoi mein jyadatar tadka lagane ke liye kiya jata hain. South Indian khane ki har dish mein Curry patte ka istemal kiya jata hain, Kyonki yeh na kewal khane ka swaad badhata hain, Balki sehat ke liye bhi kai prakar se faydemand hota hain. Curry Patte mein 66% moisturizer, 6.1 % Protein, 1% Fat, 16% carbohydrate, 6.4% minerals paye jate hain.
Aaiye Jante hain Curry Patta ke fayde (Kari Patta ke Fayde)
Naak aur seene ke cough ko kam karta hain.
Sukhe cough aur sinus ke chalte hone wale cough ki samsya bahut hi gambhir hain , Jisse saans lene mein preshani hoti hain. Curry patte mein Vitamin A aur C ke saath Anti-Bacterial aur Anti-Fungal gun hote hain, Jo cough ki samsya ko door karte hain. Iske liye 1 chammach Curry powder ko 1 chammach shahad ke saath mila kar paste bana le aur din mein 2 baar iska sewan kare.
Apach se rahat
Kharab khana, Masaledar khana aur anya karno ke karan hone wali apach ki samsya se chhutkara dilane mein Curry patta bahut hi faydemand hota hain. Iske liye Ghee garm kare, Usme thoda sa jeera, Curry patta, dedh chammach sonth aur thoda sa paani dalkar ubaale. Phir usay thanda hone ke liye rakh de. Thanda hone ke baad ise peene se apach ki samsya se turant rahat milti hain. Swaad ke liye ise shahad ke saath bhi liya ja sakta hain.
Motapa kam kare
Aapko jankar hairaani hogi ki in chhoti pattiyo se bhi wajan kam kiya ja sakta hain. Ji haa, Curry patta bahut saari samsyaon ke ilaj mein upyogi hain. Jald asar ke liye iska 1 mahine tak lagatar sewan karna faydemand hota hain.
Diabetes ke liye
Research mein yeh paya gya hain ki Curry patta blood mein glucose ki matra ko kam nahi karta , Balki kafi dino tak usay control bhi karta hain. Sharir mein insulin ki sakriyta ko prabhavit karne ke saath blood sugar level ko kam karta hain. Rojana khali pet 3 mahine tak 6-8 Curry pattiyo ka sewan diabetes rogiyo ke liye bahut hi faydemand hain. Saath hi yeh diabetes ke chalte wajan badhne ki samsya ko kafi had tak kam kar deta hain.
Anemia problem door karta hain.
Curry patte mein iron aur folic acid ki bharpoor matra payi jati hain. Sharir mein folic acid ke kami se iron acche se observe nahi ho pata hain. Is karan Anemia ki problem ho jati hain. Per 100 Gram curry patte mein .930 ml Iron hota hain. aur iske saath hi calcium aur sharir ke liye jaroori vitamins bhi uchit matra mein paye jate hain. Inhe khakar anemia ki samsya se chhutkara paya ja sakta hain. Dahi mein methi daane aur curry patte ko dedh ghante tak bhigo kar rakh de. Rojana subah ise kha kar blood ki kami ko door kiya ja sakta hain. Khajoor ke saath ise khana labhkari hota hain.
Dil ki bimariyo se bachata hain.
Research ke anusaar, Curry patte mein blood cholesterol ko kam karne wale gun hote hain, Jo dil ki bimariyo se bachate hain. Anti-oxidants ki bharpoor curry patte cholesterol ko Oxidize hone se rokte hain, Kyonki Oxidize Cholesterol hi bad cholesterol banata hain, Jo kai parkar ki dil ki bimariyo ka karan hota hain. Khane mein Curry patte ke alawa ise kachcha chabana bhi bahut faydemand hota hain.
Liver Surkashit rakhta hain
Alcohol aur jyada Fish khana liver ke liye bahut hi nuksandayak hota hain. Curry patta liver ko oxidative stress se bachata hain, Jo machhali aur alcohol mein paye jane wale hanikarak tatv se liver ko bachata hain. Iske liye garam ghee mein curry patte ka ras mila kar usme chini aur kali mirch milaye. Phir ise ubaal le aur thanda karke piye.
Baalo ko safed hone se bachata hain.
Vitamin B1, B3 aur B9 aur C ke saath hi Curry patte mein Iron, Calcium aur phosphorus ki uchit matra hoti hain. Yeh asamay baalo ke safed hone ki samsya ko door karta hain. Raat mein Badam bhigo kar rakhe. Inhe chhilkar 10-15 Curry patte aur paani ke saath pees le. Is paste ko scalp par laga kar halka massage kare. Thodi der baad shampoo se dho le. Hafte mein sirf ek baar aisa karke turant fark dekha ja sakta hain.
Periods mein hone wale dard se aaraam dilata hain.
Masik dharm mein hone wale dard se nijat paane ke liye curry patte ka sewan kafi asardar hota hain. Iske liye meethe neem ya curry patte ko sukha kar iska powder bana le aur subah-shaam gungune paani ke saath iska sewan kare. Isse dard mein kafi araam milta hain. Vaise curry patte ko daal, pulaav aadi ke saath khana bhi isme behtar ilaj hain.
Diarrhea rokta hain.
Curry patte mein Anti-Bacterial aur anti-inflammatory Gun hote hain. Yeh pet ke liye bahut hi faydemand hain. Yeh diarrhea ki mukhya wajah pitt ko banane se rokta hain. Is samsya se preshan rogi ko curry patte ko peeskar usay chhachh ke saath mila kar peena chahiye. Jyada preshani hone par din mein 2 se 3 baar peene se jald aaraam milta hain.

Post a Comment