Header Ads

Kaun sa Mobile Operating system hain best.

Smartphone Operation systemSmartphone ke market mein in dino naye aur behtarin features wale handset ki bahaar hain. Halaki ki jitne handset available hote hain, customers ko confusion bhi utna hi hota hain. Android, Windows, iOS aur Blackberry jaise Os wale tamam smartphone market mein mauzood hain. Ab inme se kaun behtar hain, yeh aapki jaroorat par depend karta hain. To aaiye jante hain ki kis Operation system ki kya hain khasiyat ;- 



1. Android :- Pichle 2 saalo se baat kare to Google ka Mobile operating system yani ki Android Os sabse jyada popular ho raha hain. Iska main reason yeh hain ki , Android ka user interface itna simple aur behtar hain ki users ise asaani se access kar lete hain. Jiski wajah se yeh customers mein kafi charchit hain. Vahi isko banane wali company Google ek bada naam hain, Jis par log asaani ke saath bharosha kar sakte hain. Android Os mein aapko 4,000 se lekar 40,000 rupaye ki keemat wale smartphone mil jayenge. Android device mail handle karne, Social networking aur web browsing, smooth touch screen ke mamle mein number one sabit hota hain. Iske alawa yeh Os apne App store ki wajah se users ko kafi attract karta hain. Vahi samay-samay par company iske Operation system ko update karti rahti hain. Haal hi mein Google ne Android ka 5.1 Os version market mein utara tha, Jiska user interface kafi behtarin hain. Aise mein agar aap Apps ke deewane hain to Android Os best option hain. 


2. iOS :- Agar aap touch screen smartphone ka alag experience lena chahte hain to, iOS se behtar aur koi option nahi milega. Iska user interface Adroid se bilkul alag hain. Yeh Apple ka OS hain , Jo kafi smooth chalta hain. Iski sabse badi wajah yeh hain ki iske hardware aur software dono hi Apple ke hain, Jiske chalte handset ke hang hone ki problem kabhi nahi aati hain.Yeh puri tarah se icon based hota hain yani ki isme koi menu nahi hota hain. Apple ke apps kafi alag hote hain. Isme users ko sab kuch milega. Presentation editing karni ho ya phir game khelna ho. Vahi video editing ke liye bhi kafi behtar device hain. Yeh Os regularly update hota rahta hain. Agar iski keemat ki baat kare to, Yeh high range smartphone hain. Iski shuruvaat 25,000 se lekar 75,000 rupaye tak hain.


3. Windows ;- Yeh Os Microsoft ke dwara Run karaya jata hain. Yeh Os apne competitor se bilkul different hain. Iske user interface ki baat kare , to isme aapko home screen dikhaai nahi degi jaise Android ya iOS mein milta hain. Isme users ko icon app nahi dikhenge. Vahi menu ki baat kare to yeh square box jaisa hota hain. Jisme saare apps mauzood hote hain. Vaise Windows Os utna powerful nahi ho paya jitna ki isse umeed ki gyi thi. Diggaj company Microsoft ke dwara banaya gya yeh Os samay-samay par update hote rahta hain. Company ne haal mein hi iska naya version Window 10 market mein utar diya hain, Jo sabhi windows device par run karega. Phil haal Windows Os ki sabse badi kami iske apps ko lekar hain. Aam taur par jo apps sabse jyada use kiye jate hain vo Windows Smartphone mein nahi milenge. Keemat ke mamle mein Windows smartphone 10,000 se lekar 40,000 tak ki keemat par mil jate hain.


4. Blackberry OS :- Pichle kuch saalo mein sabse jyada nuksaan mein chalne wala Blackberry OS hain.  Market mein Blackberry Os ki demand na hone ke karan company ko ghata (Loss) bhi uthana pada hain. Khair Yeh Os office workers ke liye kafi behtarin hain kyonki isme PPT, documents se lekar Excel tak sabhi kaam kiye ja sakte hain. Agar aap Entertaining ke purpose se yeh phone khareedna chahte hain to aapka yeh faisla galat sabit hoga. Yeh businessman ke liye perfect choice ban sakta hain lekin college going student ke liye bekar hain. Halaki iske Os aur Hardware mein koi kharabi nahi milegi, Lekin Android smartphones ke badhte bazaar ne blackberry ko kafi peeche dhakel diya hain.