Header Ads

Talmakhana khane ke fayde (Benefits of Tal Makhana)

TalmakhanaVart ke dino mein jyadatar logo ke dwara Tal makhana ka sewan kiya jata hain. Makhana poshak tatvo se bharpoor ek jal mein paye jane wala padarth hain. Tal Makhana khana  health ke liye kafi fayde mand hain. Makhane ke beej Kidney aur heart ke liye labhdayak hain. 


Makhane mein 9.7% asaani se pachne wala Protein, 76% carbohydrate, 12.8% Nami, 0.1% vasa, 0.5% minerals salts, 0.9% Phosphorus aur per 100 gram 1.4 mg Iron mauzood hota hain. Isme aushadhiya gun mauzood hote hain.


Yeh Shighrapatan se bachata hain, Virya ki gunvatta aur matra ko badhane mein madad karta hain, Jisse kameksha badh jati hain. Iske alawa yeh mahilaon mein baanjhpan ko bhi door karne mein madad karta hain.

Talmakhana (Tal Makhana, Makhana) khane ke fayde :- 

1. Isme dher saare Anti-oxidants hote hain jisse chehre ki jhurriyo ka asar kam ho jata hain.

2. Isse blood pressure ko control mein kiya ja sakta hain. Yeh sharir ke ang sunn hone se bachata hain aut ghutano aur kamar mein dard paida hone se rokta hain.

3. Pregnant mahilaon aur Pregnancy ke baad kamjori mahsoos karne wali mahilaon ko Makhana khana chahiye.

4. Khane ka sewan karne se sharir ke kisi bhi hisse mein ho rahe dard se rahat milti hain. Kamar dard aur ghutno ke dard se chhutkara paya ja sakta hain.

5. Makhane ko desi ghee mein bhoonkar khane se dast jaise rog se chhutkara paya ja sakta hain.

6. Makhano ka sewan karne se sharir mein ho rahi jalan door hoti hain.

7. Makhane ka niyamit sewan karne se sharir ki kamjori door hoti hain aur hamara sharir sehatmand bana rahta hain.

8. Makhalo ko doodh mein mila kar khane se jalan mein araam milta hain. 6 Makhano ke sewan se durbalta mitati hain aur sharir takatwar banta hain.

Aap Talmakhane ko kaccha, doodh ke saath ya iski kheer bana kar kha sakte hain. Talmakhana hamare khane ke taste badhane ke saath hi hamari health ko bahut fayda pahuchate hain.

Tal Makhana Sexual Kamjori ko door karta hain, sharirik roop se kamjor vyakti  ko ise jaroor khana chahiye. Yeh body ko nai takat deta hain  aur Virya badhane mein madad karta hain.