Header Ads

Antioxidant kya hain aur yeh health ke liye kaise jaroori hain ?

Anti-Oxidant's FoodAap aksar sunte hain ki Anti-Oxidants health ke liye bahut hi faydemand hote hain. Kai phalo, Anaazo aur banavati cheezo mein yeh chemical bharpoor matra mein paya jata hain. Halaki, iske faydo par swaal uthate rahe hain.


Kya hain Anti-Oxidant ? 

Anti-Oxidant Vitamin, Minerals aur kuch anya chemicals hain, jo hamare sharir mein Oxidation se hone wale nuksaan ko Deactivate karne mein madad karte hain. Sharir mein pachan aur anya kriyaon ke liye oxikaran ka upyog hota hain, Jisse aise products ban jate hain, Jo sharir ke liye nuksaandeh hone ke saath-saath kai saari bimariyo ki wajah bhi hote hain. Anti-Oxidant ka kaam  in hanikarak products ki safaai karna hota hain. Anti-Oxidants Dil ki bimari, Stroke, kuch prakar ke Cancer aur budhape sambandhi bimariyon ki roktham mein madadgar hain. Inki supply bhojan se hi ho sakti hain. 


Yeh kaise kaam karte hain? 

Oxykaran (Oxidation)  hamare sharir ka normal process hain. Isse kuch bacteria paida hote hain, Jinhe Free Radicals kaha jata hain. Kam sankhya mein Free Radicals hamare sharir ke liye labhdayak hain aur Cells ke banne mein madadgar hain. Lekin adhik tadad mein yeh Free radicals cells ko khatm karne lag padte hain. Yeh kaam karne ki capacity par negative asar dalte hain. Anti-Oxidant Vitamin C ya Beta Carotene in Free Radicals se hame bachate hain.


Supplement se bache 

 London ke Kings College mein Diabetes & Nutritional Science division ke head Sounders ke mutabik, " Supplement se Anti-Oxidant ko lena hanikarak ho sakta hain, Khas taur par Smoking karne walo ke liye. "

International Group Cochrane collaboration bhi is baat se sehmat hain ki Anti-Oxidant Supplement fayde se adhik nuksaan pahuchate hain. 90 ke dashak mein smoking karne wale logo par ek study mein paya gya ki jo log Beta-Carotene adhik matra mein lete hain, Unme fefde ke cancer ka khatra badh gya tha. Researchers ne Vitamin E Supplement ka sambandh ek tarah ke stroke aur prostate Cancer se bhi paya hain. Isliye aapko Anti-Oxidants ki purti ke liye Phal, Sabziyo aur sea food aadi ko khana chahiye. Inki Dawai ke dwara purti karna theek nahi hain. To aaiye jante hain Anti-Oxidants ke natural Source.


Anti Oxidants ke source :- 

Zinc - 40 mg per day 

Dry fruits, Meat, Sea-Food.

Yeh sharir ko Bio-chemicals ke reaction se bachata hain. Yeh White blood cells ki sankhya ko badha kar Immunity ko bhi strong karta hain.


Selenium - 20 mg Per day 

Lahsun, Red Meat, anda, machhli, Chicken.

Yeh ek mineral hain. Yeh sharir mein natural tarike se banane wale Anti-Oxidant ke production mein madadgar hain.

Lycopene - 15 mg per day 

Tamatar, Tarbooz, Angoor, Papita, Santra.

Yeh Skin ke liye bahut hi jaroori hain. Yeh dhoop ke asar se skin ko bachata hain. Yeh ek tarah se skin ki oxygen sokhne ki capacity ko badhata hain.

Carotenoids - 2400 IU per day

Aaloo, tamatar, Seetaphal, Gajar, Kaddu, Lauki, Aam, Palak.

Carotenoids ek Organic pigment hain. Tez dhoop mein yeh hamari aankhon aur skin ko safety deta hain. Cells ki bhi raksha karta hain.

Co-Enzyme Q-10 -60 mg per day

Palak, Broccoli , Phool gobhi, Machhali, Chicken Breast.

Yeh sharir ke cells ko majboot karne ke saath unhe active karta hain. Isse migraine aur low blood pressure ki shikayat nahi hoti hain.


Polyphenols - 800 mg se adhik 

Pyaz, Haldi, Sarso, Alsi, Olive oil, Coffee.

Yeh Dementia, Parkinson's aur Alzheimer jaisi bimariyo se bachav karta hain. Ise catechin bhi kahte hain. yeh 6 tarah ke hote hain.