Header Ads

Android Smarphone ki speed badhane ke liye 5 Tips.

photo:- Happy man with Android Smartphone SpeedAndroid Smartphone ka market duniya mein sabse bada hain. Duniya mein jitne smartphone users hain unme se har teesre ke paas Android Smartphone hain. Ab aise mein jab Android smartphone ka use badh raha hain, to usse judi problems ko solve karna bhi jaroori hain. High range ho ya budget smartphone, dheere-dheere sabhi Android Smartphone ki speed kam ho jati hain. To aaiye jante hain ve khas tips jo 5 minutes mein hi phone ki speed ko duguna kar dega.

1. Update your smartphone firmware :- Kisi bhi Android smartphone ka sahi se istemal tab hi hota hain. Jab aap samay-samay par Apps aur OS ko karte rahe. Halaki Os ko ek baar hi update karna hota hain Lekin samay-samay par Apps updation dete rahte hain. Aise mein jaroori hain ki notification mein aane wale Apps updation ko avoid karne ke bajaye jo jaroori apps hain, Unhe update kar diya jaye. 


2. Reset your Android phone :- Android Smartphone ki speed badhane ke liye dusra tarika phone ko reset karna hain. Yani ki handset ko agar backup reset kar diya jaye to speed mein kafi difference pad sakta hain. Basically yeh phone ko internally naya bana deta hain. Iske liye aapko Settings option mein jakar Backup & reset ko click karna hoga. Yaha aapko dhyaan rakhna hoga ki phone ko reset karne karne ke baad handset mein save pura data delete ho jayega to aise mein apne data ko external memory mein save karke rakh le. 

3. Check the Internal Memory Space :- Android users ko device use karte samay-samay par Internal memory ko check karte rahna chahiye. Yani ki jab aap Setting options mein Storage par click karenge to Internal Memory aur External memory mein save apps aur data aadi ko show karega. Aise mein jaroorat ke hisab se music, video aadi ko delete kar de. Yahi nahi agar aap Messaging App data ko delete karna chahte hain, to asaani se kar sakte hain. Iske alawa Cache Data ko hamesha delete karte rahiye. 


4. Uninstall unused programs & application :- Android Device mein kai aise apps hote hain, jinka istemal to ham nahi karte hain, lekin yeh device mein mauzood rahte hain aur faltu ki jagah ghere rahte hain. Aise mein aapko chahiye ki in UN-useful  apps ko turant uninstall kar de. Device mein jitne kam apps honge utna hi phone accha chalega. Useful apps ko hi install kare. Halaki ki aap chahe to kuch apps ko SD card mein yani ki external memory mein bhi move karwa sakte hain, Jisse internal memory mein jagah khali ho jayegi. 


5. Software Developer :- Agar aap apne purane Android phone ki performance ko sudharna chahte hain to iska ek tarika hain. Jo phone software developer hain. Sabse pahle phone ki settings mein jaye, uske baad 'About phone' ke option ko choone. Uske baad phone ke build number ko baar-baar tap kijiye. Kai baar tap karne se phone aapko batayega ki aap developer hain. Uske baad vapis setting menu mein jaye. Uske baad aapke saamne Developer Option naam ka ek vikalp aayega. Yaha jakar aap menu option mein teen badlaav la rahe hain. In teen mein Window Animation Scale, Transaction Animation Scale aur Animation duration Scale. In teeno ko badal kar 1.0 se 0.5 kar dena hain. Aisa karne mein sirf 2-4 minutes lagte hain. Yeh sab kar dene ke baad phone ko re-start kariye aur dekhiye uski speed pahle se kafi behtar ho gyi hain