Header Ads

Amrood ki pattiyo ke gharelu nuskhe aur upchar (Benefits of Guava Leaves)

photo:-Amrood ke patteAmrood ki pattiyo se kai saari bimariyo ka ilaj kiya ja sakta hain. Amrood ki pattiyo ke (Guava Leaves Benefits) kai gharelu nuske aur ilaj hain, Amrood ke patte ke fayde ke  baare mein bahut kam log hi jante hain. Yu kahe ki Amrood ke phal se jyada iske patte jyada faydemand hote hain. Yeh kai bimariyo mein Ramban dawaa hain, Aaiye jante hain Amrood ki pattiyo ke aise gun o ke baare mein :-

1. Wajan kam kare :- Amrood ki pattiya hard Starch ko Sugar mein badlane se rokti hain. Jisse sharir ke wajan ko ghatane mein sahayta milti hain. Yahi karan hain ki Wajan ghatane ke liye Amrood ki pattiyo ka churan upyog mein laya jata hain. 

2. Gathiya Dard :- Amrood ke patto ko koot kar, lugdi (paste) banaye. Ise garm karke gathiya se prabhavit hisso par lagaye. Sujan door ho jayegi. 

3. Swapndosh mein labh (Nightfall mein faydemand) :- Amrood ke patto ko pees kar uska ras (Juice) nikal le. Iske baad ras mein swadanusar Chini mila kar rojana ise piye. Swapandosh ki bimari door ho jayegi. 

4. Leukocoria mein labh :- Amrood ki tazi pattiyo ka ras 10 se 20 ml tak rojana subah-shaam peene se leukocoria ki bimari mein chamatkarik labh hota hain.

5. Cholesterol ko kam kare :- Amrood ki pattiyo ka Juice Liver ko saaf karne mein madad karta hain. Yeh bimari paida karne wale cholesterol ke level ko control karta hain.

6. Diarrhea mitaye :- Yeh pet ki kai bimariyo ko theek karne mein asardar hain. Ek Cup khaulte huye paani mein Amrood ki pattiyon ko daalkar ubaale. Phir is paani ko thanda karke, chhan kar pee lijiye. Diarrhea (Dast) mein labh hoga.


7. Pachan tantra sahi kare ;- Amrood ki pattiyo ya phir iska juice pee kar aap pachan tantra (Hajma) ko theek kar sakte hain. Isse food poisoning mein bhi kafi rahat milti hain.

8. Daanto ki problem ke liye :- Daant dard, Gale mein dard, Masoodho mein bimari Amrood ki pattiyo ke ras se door ho jati hain. Amrood ke pattiyo ko peeskar iska paste bana le aur usay masoodo (Gums) ya daanto par lagaye.

9. Dengue bukhaar ke liye :- Dengue bukhaar mein Amrood ke patto ka juice piye. Yeh bukhaar ke infection ko door karta hain.


10. Allergy door kare :- Amrood ki pattiyo ka ras kisi bhi tarah ki allergy ko door kar sakta hain. Yeh oos virus ko khatm kar deta hain, jisse allergy paida hoti hain.

11. Mooh ke chhale :- Amrood ke patto par katha laga kar chabaye. Kewal amrood ke patte chabane se chhale theek ho jate hain.

12. Moohase door kare :- In pattiyo mein Anti-septic gun hote hain. Isliye Amrood ki taji pattiyo ko pees kar pimples par lagaye.Kuch hi dino mein Pimples khatm ho jayenge.

13. Baalo ki growth badhaye :- Amrood ki pattiyo mein bahut saara poshan aur anti-oxidant hota hain, jo baalo ki growth ko badhata hain.

14. Diabetes ke rogiyo ke liye :- Ek research ek anusaar Amrood ki pattiya alpha-glucosidase enzyme ki process dwara Blood sugar ko kam karti hain. Dusri taraf Sucrose aur Lactose ko sokhne se sharir ko rokti hain, Jisse sugar ka level control mein rahta hain. Isliye diabetes ke rogiyo ke liye amrood ke patto ka churan labhdayak hota hain.

15. Khujali ke liye :- Amrood ke pattiyo mein anti-allergic gun hote hain. Allergy khujali ki ahem wajah hoti hain. To Allergy ko kam karne se khujali apne aap kam ho jati hain.