Header Ads

Badam wala doodh peene ke fayde (Benefits of Almond Milk)

Badam wale Doodh ki photoBadam ka doodh (Badam wala doodh) peene ke fayde bahut hain kya aap jante hain ? Badam ka doodh to aapne kabhi na kabhi jaroor piya hoga, par is par itna jyada dhyaan nahi diya hoga. Jyadatar log Badam wala doodh sardiyo mein peete hain kyonki unka manana hain ki ise peene se sardi bhaag jati hain aur sharir mein takat aa jati hain. Aapka manana bilkul sahi hain, Badam ka doodh pure sharir ke liye bahut hi accha hain. Agar aapke bacche sardiyo mein school jate hain to unhe garma-garam Badam ka doodh jaroor pilaye. Kyonki isse dimaag tez hoga, Aankho ki roshini badhegi aur sharir mein energy aayegi. Badam wala doodh peene se skin healthy aur chamakdar banti hain. Aaiye jante hain Badam wala doodh peene ke kya-kya fayde hain aur sharir ko kya-kya labh milte hain.


Sehat aur dimaag ko banaye majboot Badam Wala doodh 

1. Weight control kare :- Badam ka doodh aapka wajan kam karne mein sahayak hoga. Ek cup Badam ke doodh mein 60 Calories hoti hain, Ise roj piye aur apne wajan ko control hote huye dekhe.

2. Heart ko banaye strong :- Badam milk (Almond Milk) mein bilkul cholesterol nahi hota hain. Isme healthy Fat ki matra bahut jyada hoti hain jaise, Omega Fatty Acid. Yeh dil ki majbooti ke liye bahut hi jaroori tel hota hain. Saath hi isme Potassium, Vitamin E, Magnesium aur Mono-saturated Fats bhi paye jate hain.

3. Haddiya banaye majboot :- Isko peene se bahut saara Vitamin D milta hain Jisse haddiya calcium ko asaani ke saath sokh (observe) kar leti hain. Badam ka doodh peene se Arthritis aur Osteoporosis ka khatra kam ho jata hain. Saath hi sharir ki rog-pratirodhak kshamta bhi badhti hain.


4. Muscles banaye ;- Bhale hi Badam ke doodh mein Protein ki matra jyada na ho lekin isme Magnesium, Copper aur Riboflavin jaise nutrients hote hain jo sharir ki energy badhane mein madad karte hain.


5. Skin banaye chamakdar aur healthy :- Badam ke doodh mein bahut saara Vitamin E hota hain jisko pee kar aapki skin glow karne lagegi. Yeh bahut hi powerful nutrient hota hain jo skin mein moisture bharta hain aur usay healthy banata hain.

6. Aankho ke liye :- Kyonki Badam Milk mein Vitamin A hota hain jo aankhon ko direct asar karta hain. Isliye Almond Milk padhte huye baccho ko jaroor pilana chahiye.