Tambe ke bartan mein paani peene ke fayde (Benefits of Copper vessels water)
Tambe (Copper) ke bartan (Vessels/utensils) mein paani (Water) peene ke fayde (Benefits) bahut jyada hote hain. Dooshit paani ki badhti samsya ke karan log apne gharo mein Water purifier lagwa rahe hain, Jo ki paani ki sabhi gandagi aur bacteria ko khatm karne ka daawa karte hain aur health ke najriye se yeh Water Purifier kafi acche mane jate hain. Lekin purane jamane mein jab Water Purifier nahi hote thay, Tab log Tambe ke bartan mein water ko store karke rakhte thay. Ise bahut hi accha purifier mana jata tha. Yeh fungal, algie aur paani mein mauzood kai kism ke bacteria aur germs ko easily destroy kar deta hain. Copper se body ko aur kis-kis tarah se benefits milta hain aaiye jante hain.
Kahte hain ki raat ko Tambe ke patr mein paani rakh de aur subah is paani ko piye to anek fayde hote hain. Ayurveda mein kaha gya hain ki yeh paani sharir ke kai dosho ko shant karta hain. Saath hi, is paani se sharir ke zehareele tatv bahar nikal jate hain. Raat ko is tarah Tambe ke bartan mein store kiye paani ko TamraJal ke naam se jana jata hain.
Yeh dhyaan rakhne wali baat hain ki Tambe ke bartan mein kam se kam 8 Ghante tak rakha hua paani labhkari hota hain. Jin logo ko cough ki samsya jyada rahti hain, Unhe is paani mein Tulsi ke kuch patte daal dene chahiye. Bahut kam log jante hain ki Tambe ke bartan ka paani peene ke bahut saare fayde hain. Aaj hum aapko batane ja rahe hain Tambe ke bartan mein rakhe paani ko peene se hone wale kuch behatrin faydo ke baare mein :-

Paani se hone wali bimariyo se bachata hain
Copper paani mein mauzood sabhi tarah ke bacteria, specially E Coli & S aureus ko destroy karne ke helpful hota hain. Yeh bacteria Diarrhea, Dentistry aur Jaundice jaisi bimariya paida karte hain. Saal 2011 mein University of South Hampton mein yeh paya gya ki Copper in bimariyo ki sambhavna ko khatm karne ke saath hi inke infections se bhi bachata hain.
Digestion sahi rakhe
Acidity, Gas aur Kabz jaisi preshani se door rahna chahte hain to Tambe ke bartan mein rakha hua paani piye. Yeh sharir ki saari gandagi ko bahar nikal kar bimariyo se door rakhta hain. Saath hi, Liver aur kidney function ko bhi sahi rakhta hain. Pet se jude kisi bhi tarah ke infection se nipatne mein Tambe mein rakha hua paani peena kargar hota hain.
Acidity, Gas ya Pet ki koi dusri samsya hone par Tambe ke bartan mein rakha hua paani amrit ki tarah kaam karta hain.
Ayurveda ke anusaar, agar aap apne sharir se vishaile padartho ko bahar nikalna chahte hain to Tambe ke bartan mein kam se kam 8 ghante tak rakha hua paani piye. Isse rahat milegi aur pachan ki samsyaen bhi door hongi.

Weight kam kare
Digestion sahi rakhne ke saath hi Tamba Fatty Cells ko badhne se bhi rokta hain. Isse motapa control mein rahta hain. Tambe ke bartan mein paani peene ke alawa diet aur exercise par bhi pura dhyaan dena chahiye.
Dil ka rakhe khyaal
Tambe mein mauzood Minerals Cardiovascular health ke saath hi dil se judi problems ko bhi door rakhte hain. Blood pressure ke level ko sahi rakhne ke saath yeh Bad cholesterol ko kam karte hain. Saal 2005 mein European Health Journal mein chhapi ek report ke mutabik, Tambe ke bartan mein rakha paani har tarike se faydemand hota hain. Heart attack ke khatre se bachne aur blood pressure ko control mein rakhne ke liye Tambe ke bartan mein store kiya hua paani piye.
Skin ko rakhe healthy
Jyadatar log healthy skin ke liye tarah-tarah ke cosmetic ka upyog karte hain. Vey mante hain ki acche cosmetics use karne se skin beautiful ho jati hain, Lekin yeh sach nahi hain. Skin par sabse adhik asar aapki dincharya aur khan-pan ka padta hain. Isliye agar aap apne skin ko healthy banana chahte hain to Tambe ke baratan mein raat bhar paani rakhe aur subah usay pee le. Niyamit roop se is nuskhe ke upyog se aapki skin glowing aur healthy rahne lagegi. Melanin jo ki skin se lekar aankho aur baalo ke color ke liye jimmevar hota hain, uske banane ke liye Tamba bahut hi jaroori hota hain. Melanin skin ko ultra-violet rays se bhi bachata hain saath hi scars ko door karke chehre ke daag-dhaboo ko door karta hain.
Anemia door karta hain
Anemia ki samsya se niptane ke liye Tambe ke bartan mein rakha hua paani peena bahut hi faydemand hota hain, Kyonki yeh khoon mein mauzood Iron ko asaani se observe kar leta hain. Anemia se joojh rahe mareez ko Tambe ke bartan mein rakha hua paani peena chahiye, Saath hi doctor ki salah se Iron ki tablets bhi li ja sakti hain.
Anti-Aging ka kaam karta hain
Copper bahut hi accha Anti-oxidant hota hain, jo samay se pahle nazar aane wale budhape ko door karta hain. Yeh free radicals damaging ko rokta hain, Jisse wrinkles, skin par nazar aane wali baareek lines aur dhag-dhabbe door hote hain. Tavcha ko umar ke prabhav ko kam karne ke liye Tambe ke bartan mein store kiya gya paani piye.
Kahte hain ki jo paani jyada peeta hain uski skin par adhik umar ki jhurriya dikhai nahi deti hain.
Yeh baat ekdum sahi hain, Lekin kya aap jante hain ki agar Tambe ke bartan mein jal rakhkar piye to isse tavcha ka dheelapan aadi door ho jata hain. Dead Skin bhi nikal jati hain aur chehra hamesha damakta hua dikhai deta hain.
Sujan se dilaye rahat
Tambe ke bartan mein Anti-Inflammatory gun hote hain jo sharir mein hone wale dard, einthan aur sujan ki samsya ko door karte hain. Arthritis ki samsya se nipatne mein yeh bahut hi faydemand hote hain.
Gathiya (Arthritis) mein hota hain faydemand
Aajkal kai logo ko kam umar mein hi gathiya aur jodo ke dard ki samsya satane lagi hain. Yadi aap is samsya se preshan hain to Tambe ke paatr ka paani piye.
Gathiya ki shikayat hone par Tambe ke bartan mein rakha hua Jal peene se labh milta hain. Tambe ke bartan mein aise gun aa jate hain, Jisse body mein uric acid kam ho jata hain jo gathiya aur jodo ki sujan mein hone wale dard mein rahat deta hain.
Thyroid mein aaram
Thyroxine hormone ke unbalance ke karan se thyroid ki bimari hoti hain. Thyroid ke mukhya lakshano mein tezi ke saath wajan badhna ya ghatna, Adhik thakaan mahsoos hona aadi hain. Thyroid experts mante hain ki Copper ke touch wala Paani sharir mein Thyroxine Hormone ko balance karta hain.
Thyroid ki samsya ko door karne mein Tambe mein mauzood minerals bahut hi jyada upyogi hote hain. Tambe ki kami se Thyroid Gland sahi tarike se kaam nahi karta. Isse dil, dimaag, liver aur Kidney prabhavit hote hain. Inki sahi functioning ke liye Tambe ke bartan mein store kiye gye paani ka istemal karna chahiye.

Post a Comment