Header Ads

Badhti Umar mein Fit rahne ke Tips (Tips for Fit in Growing Age)

Old Man Running & getting Health benefits Badhti umar ka matlab yeh nahi hain ki aap apni fitness ko nazarandaj kare. Is umar mein jyadatar log lagbhag apni saari jimmevariyo se free ho chuke hote hain. Unke paas time ki kami nahi hoti hain. Isse vah khud ko fit aur healthy rakhne ke liye samay de sakte hain. Khane peene mein thodi si samajhdari barat kar aur Umar ke anusaar Yoga aur exercise kar lambi umar aur behtar zindagi ka anand liya ja sakta hain. Yaha kuch aise hi tips diye ja rahe hain jo aaj se 10 ya 20 saal baad bhi aapko fit rahne mein aapki madad karenge.

Health mein kare invest 

Experts kahte hain ki ya to aap kam umar mein apni sehat par kharch kare ya phir budhape mein ijal par kharch ke liye taiyaar rahe. Sehat se jude kharcho ko upbhogh na mankar jaroorat mane. Agar budget Jim ki membership lene layak nahi hain, to kam se kam acche running shoes to jaroor khareed sakte hain. America mein hui ek research ke anusaar Motape ke shikaar logo ko Normal logo ki tulna mein kai guna jyada kharch apne ilaj par karna padta hain.

Workout kare ya nahi, Active jaroor rahe

Duniya ke jin areas mein sabse jyada log jeete hain, Vaha kiye gye research se yeh baat samne aayi hain ki logo ki lambi umar ka raaz unka hamesha active bane rahna hain. Active rahne ke liye jaroori nahi ki rojana exercise ki jaye. Rojmarra ke kaamo mein bhi Physical Activity jaise Shopping ke liye paidal jana, Ghar ke kaam khud karna aadi ko shamil kar sakte hain. Isse roj active rahne ki aadat badhti umar tak bani rahegi.

Acchi neend le 

Badhti umar ke saath jimmevariyo ko nibhaane ke liye sabse pahle hum apni neend ko kurbaan kar dete hain. Lekin puri neend utni hi jaroori hain jitni ki exercise. Neend se sharir ko khud normal karne aur din bhar mein ya exercise ke dauraan huye nuksaan ki recovery karne ka mauka milta hain. Acchi neend lena bhi bahut hi jaroori hain. Room ke ander darkness, Kam temperature ( 20 se 22 Degree) aur Silent neend ke liye accha mana jata hain.

Apni diet mein kare chote-chote change 

Jitne jyada samay tak aap kharaab diet lenge, badhti umar ke saath problems badhti jayengi. Yani ki aapko apni diet mein kam umar se hi slowly-slowly change lana start kar dena chahiye. Diet mein jyada Fruits aur Vegetables ko shamil karna chahiye. Iske baad dheere-dheere jaroorat ke hisaab ko samajhte huye diet mein badlaav karke nayi aur healthy cheezo ko jodna chahiye.

Apni limits khud jane aur khud par jyadati na kare

 Khane se lekar, Workout karne tak ki apni capacity ko pahchane. Badhti umar mein tamam tarah ki preshaniya shuru ho jati hain.  Isliye Jaroorat se jyada workout ya wrong exercise na kare. Umar ki parvaah kiye bagair jyada exercise karne se aapki muscles mein pain shuru ho sakta hain. Lekin agar exercise karne ka tarika bhi galat ho to muscles ke saath jodo mein bhi dard hoga.