Music ke fayde (Benefits of Listening of Music)
Music sabke liye hain faydemand
Purush :- University of Gothenburg ne apni study mein paya ki jo purush rojana music sunte hain, unme positive emotions jyada aate hain. Isi karan unki personal Life aur professional life behtar banti hain.
Mahila :- Ek American Study mein daawa kiya gya hain ki jo mahilaye pregnancy ke dauran music sunti hain, unhe labor pain kam hota hain. Vey delivery ke time bhi kam chinta karti hain.
Bacche :- Chinese University of Hong-Kong ki ek research ke mutabik, Jo bacche Music ki class lete hain, Vey Academic mein bhi behtar hote hain. Ek anya research ke mutabik, Aise bacche jyada cooperative hote hain.
Bujurg :- University of Kansans Medical Center ne study mein paya ki jo log music ki training mein adhik involve rahte hain, budhape mein unka dimaag behtar tarike se kaam karta hain. Music sunane wale bujurg jyada behtar soch paate hain.
Music/ Songs Sunane ke fayde (Benefits of Listening Music)
1. Back Pain kam hoga :- Nervous system ka part hota hain Autonomic Nervous System. Yeh part Blood pressure ko control, Heart Beat aur brain function ke liye jimmevar hota hain. Music isi part par asar dalta hain, Vo bhi positive. Jab koi slow music play kiya jata hain to Heart beat aur Blood pressure bhi slow hoti hain. Is karan hum behtar tarike se saans le pate hain. Isse gale, Kandhe, Pet aur Back mein muscle tension kam hoti hain aur gambhir Back Pain ki samysa se rahat milti hain.
Research :- Austria ke General Hospital of Salzburg ne apne ek research mein yeh paya ki music back pain mein rahat dilata hain. Yeh research 21 se 28 saal ki umar ke 645 mareezo par ki gyi thi. Is research mein yeh paya gya ki Back surgery ke baad jin mareezo ne Music therapy li, unhe surgery ke baad Back-Pain mein kafi aaram mila.
2. Memory loss mein aaram :- Music sunane se hamari yaddasht behtar hoti hain. Jin logo ko bhoolne ki bimari hain, Music sunne se unhe kafi hud tak fayda ho sakta hain. Darasal, Kamjor Yaddasht wale log shabd bhale hi jaldi bhool jaye, Lekin sangeet nahi bhoolte hain. Iska karan hain ki dimaag ka jo part music process karta hain, Theek uske paas wala part yaddasht se juda hua hota hain. Isliye music ka memory se gahra nata hain.
Research :- Is sambandhi Norway mein Sogn og Jordan College mein ek research ki gyi. Is research mein kamjor yaddasht walo ko music therapy di gyi, to unme se 2/3 mareezo ka Orientations badha aur unki memory loss mein kafi sudhaar aaya. Yeh music mareez ki pasand ke kisi bhi goner ka ho sakta hain.
3. Depression mein madadgar :- Tanav (Tension) ek badi samsya hain. Aise mein, Music isme kafi madad kar sakta hain. Kai researches mein yeh baat sabit ho chuki hain ki music sunane wala vyakti relax ho jata hain aur uske brain ka vah part jyada active ho jata hain, jo emotional activity aur neend se juda hota hain. Isse depression kam ho jata hain. Relaxing se muscles ko aaram milta hain aur saans behtar tarike se li jati hain.
Research :- Is silsile mein haal mein hi Tokyo Science of University mein ek research ki gyi. Is research mein yeh paya gya ki music vakai mein manushya ki chinta , tension aur depression ke levle ko kam kar deta hain. Depression aur Tension ko door karne ke liye Classical music sabse jyada madadgar hain.
4. Baccho ko darr khatm :- Kisi karanwash yadi baccho ki surgery karni pade to unhe kafi darr rahta hain. Aise, Mein music unki madad kar sakta hain. Yeh paya gya ki jin baccho ki surgery honi ho, yadi unhe music sunaya jaye to unka darr kam ho jata hain. Aisa muscles ke relax ke karan hota hain. Baccho ko music ke karan kisi bimari mein dard ka ahsaas bhi kam hota hain.
Research :- Is sambandh mein hui ek research ke tahat baccho ke 3 groups ko Words aur Music dono ke madhyam se surgery ki jankari di gyi. Research mein yeh paya gya hi baccho ke jis group ko Music ke madhyam se surgery ki jankari gyi thi, unhe surgery ko lekar kam chinta thi.
5. Workout behtar hoga :- Music hamari exercise ko bhi behtar banati hain. Experts ka manana hain ki Exercise ke dauran music sunane se hamari Endurance badhti hain. Jisse exercise karte waqt mood behtar rahta hain aur high Intensity exercise karte samay hone wale discomfort ka asar kam hota hain. Music sunane se Endorphin Hormone bhi release hota hain jo mood ko behtar karta hain aur lambe samay tak exercise karne ke liye prerti karta hain.
Research :- America ke Hampden Sydney college ke Dr. Robert ne apni ek research mein Cyclist ki madad se yeh jana. Unhone yeh research se yeh paya ki Cycling karte samay yadi Music suna jaye to 11% adhik doori tay ki ja sakti hain.
Facts :- 26 % ke lagbhag Blood vessels ka diameter badh jata hain, Joyful music sunane ke baad. University of Maryland ki research ke mutabik, Music sunana dil ki bimariyo ko rokne mein sabse jyada faydemand hain.
Ek aur research mein yeh paya gya ki Jo Cancer patient apne treatment ke saath-saath Music Therapist ke pass bhi jate hain, Vey apni bimari ko lekar jyada positive hote hain.
Post a Comment