Header Ads

Triphala ke fayde (Benefits of Triphala)

Triphala ki photoTriphala ke fayde (Benefits of Triphala), Kai baar kamjori ke karan bhi sharir bimariyo ka shikar hone lagta hain. Aise mein hum yadi thodi si savdhani bart kar ayurvedik tariko ko apnaye to sharir apne aap swasth rahega. Saath hi sharir ka kayakalp karne mein bhi bahut asaani hogi. Triphala bhi ek aisi Ayurvedik aushadhi hain, jo sharir ka kayakalp kar deti hain. Iske niyamit sewan karne ke bahut hi fayde hain. Triphala sirf kabz door karne ke liye nahi hain, Balki kamjor sharir ko energy dene ke liye bhi upyogi hain. Iske alawa Triphala ke aur bhi bahut saare upyog hain.


Ayurvedik doctors ki sabse favorite medicine hain Triphala. Iski madad se kisi bhi rog ke liye dawaaian banayi ja sakti hain. Aapko jankar hairaani hogi ki Ayurvedik dawaaon ki kitab charak sahinta mein sabse pahle episode mein hi Triphala ke baare mein bataya gya hain. Yeh Triphala, Amla, Baheda aur Harad ka mixutre hota hain. Chaliye jante hain Triphala ke behad khas upyog:- 

1. Pet aur sharir ke keede khatm karta hain. :- Agar Pet ya sharir mein keede paida ho gye ho to Triphala khane se rahat milti hain. Yadi sharir mein ringworm ya tapeworm ho jate hain to bhi Triphala kargar hain. Triphala sharir mein red blood cells ko badhava deta hain, jo ki kisi bhi infection se ladne mein saksham hota hain. 

2. Saans sambandhi samsya mein :- Triphala Saans se related rogo mein labhdayak hain. Iske sewan se saans lene mein hone wali asuvidha bhi door ho jati hain.  

3. Cancer mein labhdayak :- Ek research mein yeh paya gya hain ki Triphala se cancer ka ilaj mumkeen hain. Isme Anti-Cancer gun paye gye hain. Iski madad se sharir ki cancer koshikaon ke vikas ko roka ja sakta hain.

4. Seerdard mein asardaar ilaj :- Yadi kisi ko sirdard ki samsya jyada rahti hain to usay Doctor se salah lekar Triphala niyamit roop se khana chahiye. Triphala Seerdard ko kam karne mein madadgar hain. Seerdard Metabolic gadbadi ke karan hota hain. Iske sewan se yeh samsya jad se khatm ho jati hain. 

5. Diabetes ki behtarin dawa ;- Diabetes ke upchar mein Triphala bahut asardar hain. Yeh Pancreas ko uttejit karta hain , Jisse insulin paida hota hain. Sharir mein Insulin ki matra sugar level ko sahi banaye rakhti hain. Iska swaad behad kadwa hota hain. 

6. Pachan ki samsya door karta hain ;- Pachan sambandhit samsyaon ko door karne mein Triphala sabse kargar dwa hain. Aant se judi samsyaon mein bhi Triphala khane se kafi rahat milti hain. Iske sewan se Aanto se pitt ras nikalta hain, Jo pet ko uttejit karta hain aur apach ki samsya ko door karta hain. Sharir mein G.I. Tract ke PH level ko bhi Triphala banaye rakhta hain. 

7. Anemia mein Ramban :- Khoon ki kami ho jane par Anemia rog hone lagta hain. Is rog mein sharir peela pad jata hain. Rogi ko chakkar aate hain. Yeh Hemoglobin ki kami ke karan hota hain. Hemoglobin ki matra kam hone par Triphala ka sewan labhkari hota hain. Yeh sharir mein Red blood cells ko badha deta hain, Jisse Anemia ki bimari door ho jati hain. 

8. Motapa kam kar deta hain :- Jin logo ko kam umar mein motapa preshan kar raha ho unke liye Triphala se behtar koi dawa nahi hain. Iske niyamit sewan se Fat kam  hota hain. Yeh seedhe Fat ko ghatane ka kaam karta hain.    

9. Skin problems ko door karta hain :- Kisi bhi tarah ki skin problem hone par Triphala madadgar hain. Yeh body se zehareele tatvo ko bahar nikaal deta hain aur khoon ko saaf karta hain.

10. Lambi umar tak jawan banaye rakhta hain :- Triphala mein bharpoor matra mein Anti-Oxidants hote hain, Jo cells ke metabolism ko control mein rakhte hain. Saath, hi inki prakriya ko banaye rakhte hain. Triphala mein lambi umar badhane wale tatv hote hain, Isliye iske sewan se umar kam dikhati hain. Yeh sharir ke kai cells ko niyamit roop se chalaane mein madad karte hain. 


11. Sharir ki immunity ko badhaye :- Ayurveda mein Triphala kaya kalp karne wali dawa ke roop mein jani jati hain. Yeh sharir ki rog-pratirodhak kshamta ko badhati hain. Triphala, Sharir mein Anti-body ke production ko badhava deti hain, Jo sharir mein Antigen ke khilaaf ladte hain aur body ko Bacteria Free rakhte hain. Yeh sharir ki T koshikaon ko bhi badhawa deta hain jo sharir ki rakhsa pranali ko majboot banata hain. 

Kaise banaye Triphala :- Triphal ek ayurvedik tradition dawa hain, jo rasayan ya kayakalp ke naam se bhi famous hain. Triphala teen jadi-bootiyo ka misharan hain:-

Amla, Harad, Baheda, In teeno ko Triphala banane ke liye istemal kiya jata hain. Triphala banane ke liye in Teeno phalo ko barabar matra mein baareek pees kar mila le aur phir kapde se chhankar iska sewan kare. 

Kitni matra mein sewan kare :- Raat ko sone se pahle ek chammach matra mein sewan kare. Phir gunguna doodh pee le. 

Vishesh:- Yeh dawa kai bimariyo mein Ramban ki tarah kaam karti hain. Isliye iske best result ke liye ayurvedik doctor se salah jaroor le.